sajjad-zahir ke nam
Interesting Fact
This was written at the death of Sajjad Zaheer, General Secretary of Pakistan Communist Party, a founder-member of Progressive Writers’ Association of which Faiz was a member, and one of Faiz’s fellow prisoners in the Rawalpindi Conspiracy case.
na ab ham saath sair-e-gul kareñge
na ab mil kar sar-e-maqtal chaleñge
hadīs-e-dil-barāñ bāham kareñge
na ḳhūn-e-dil se sharh-e-ġham kareñge
na lailā-e-suḳhan kī dost-dārī
na ġham-hā-e-vatan par ashk-bārī
suneñge naġhma-e-zanjīr mil kar
na shab bhar mil ke chhalkāeñge sāġhar
ba-nām-e-shāhid-e-nāzuk-ḳhayālāñ
ba-yād-e-mastī-e-chashm-e-ġhazālāñ
ba-nām-e-imbisāt-e-bazm-e-rindāñ
ba-yād-e-kulfat-e-ayyām-e-zindāñ
sabā aur us kā andāz-e-takallum
sahar aur us kā āġhāz-e-tabassum
fazā meñ ek haala sā jahāñ hai
yahī to masnad-e-pīr-e-muġhāñ hai
sahar-gah ab usī ke naam saaqī
kareñ itmām-e-daur jaam saaqī
bisāt-e-bāda-o-mīnā uThā lo
baḌhā do sham-e-mahfil bazm vaalo
piyo ab ek jām-e-al-vidā.ī
piyo aur pī ke sāġhar toḌ Daalo
na ab hum sath sair-e-gul karenge
na ab mil kar sar-e-maqtal chalenge
hadis-e-dil-baran baham karenge
na KHun-e-dil se sharh-e-gham karenge
na laila-e-suKHan ki dost-dari
na gham-ha-e-watan par ashk-bari
sunenge naghma-e-zanjir mil kar
na shab bhar mil ke chhalkaenge saghar
ba-nam-e-shahid-e-nazuk-KHayalan
ba-yaad-e-masti-e-chashm-e-ghazalan
ba-nam-e-imbisat-e-bazm-e-rindan
ba-yaad-e-kulfat-e-ayyam-e-zindan
saba aur us ka andaz-e-takallum
sahar aur us ka aaghaz-e-tabassum
faza mein ek haala sa jahan hai
yahi to masnad-e-pir-e-mughan hai
sahar-gah ab usi ke nam saqi
karen itmam-e-daur jam saqi
bisat-e-baada-o-mina uTha lo
baDha do sham-e-mahfil bazm walo
piyo ab ek jam-e-al-widai
piyo aur pi ke saghar toD Dalo
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 526)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.