saleT
jo jī meñ aa.e
is par tahrīr karo
jaisī chāhe lakīreñ khīñch do
naqsh-o-nigār banāo
aur
jab chāho āsānī se miTā do
kahīñ koī nishān baaqī nahīñ
baabā kī dī huī saleT
merī aaḌī tirchhī lakīroñ kā canvās
kitnā sahal huā kartā thā
is par likhe hue ko miTā denā
ab likhtī to merī biTiyā bhī hai
lekin ab vo saleT kahāñ
ab hai pencil kī gahrī nok jo gaḌ jaatī hai
kāġhaz ke siine meñ nashtar kī tarah
TuuTe phūTe hurūf
aaḌī tirchhī lakīreñ aur ġhair vāzeh tasāvīr aaj
bhī vahī to haiñ
magar
un ko miTāne kī koshish meñ kāġhaz phaT jaatā hai
yā phir
us par tahrīr-shuda alfāz ke gahre nishān jo
miTāne ke bāvajūd bhī baaqī rah jaate haiñ kāġhaz
ke siine par
vaqt badal rahā hai
pahle dil saleT kī mānind huā karte the
narm saaf aur shaffāf
aaj dil kāġhaz kī mānind halke ho ga.e haiñ
un par likhā miTtā to hai par baaqī rah jaate haiñ chand
nishān jo kabhī nahīñ miTte
kabhī bhī nahīñ
jo ji mein aae
is par tahrir karo
jaisi chahe lakiren khinch do
naqsh-o-nigar banao
aur
jab chaho aasani se miTa do
kahin koi nishan baqi nahin
baba ki di hui saleT
meri aaDi tirchhi lakiron ka canwas
kitna sahal hua karta tha
is par likhe hue ko miTa dena
ab likhti to meri biTiya bhi hai
lekin ab wo saleT kahan
ab hai pencil ki gahri nok jo gaD jati hai
kaghaz ke sine mein nashtar ki tarah
TuTe phuTe huruf
aaDi tirchhi lakiren aur ghair wazeh tasawir aaj
bhi wahi to hain
magar
un ko miTane ki koshish mein kaghaz phaT jata hai
ya phir
us par tahrir-shuda alfaz ke gahre nishan jo
miTane ke bawajud bhi baqi rah jate hain kaghaz
ke sine par
waqt badal raha hai
pahle dil saleT ki manind hua karte the
narm saf aur shaffaf
aaj dil kaghaz ki manind halke ho gae hain
un par likha miTta to hai par baqi rah jate hain chand
nishan jo kabhi nahin miTte
kabhi bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.