salib-e-ziyan se
maiñ salīb-e-ziyāñ par laTaktī rahūñ
kīleñ dhañstī raheñ ḳhuun ristā rahe
ek amboh hai be-karāñ bad-zabāñ
ek sach jo sabhī par hai koh-e-girāñ
maiñ tamāshā rahūñ shor baḌhtā rahe
gāliyāñ sīTiyāñ chand ḳhāmoshiyāñ
dohre me.aar ke faisloñ kī dukāñ
chup kī tadbīr meñ dil sañbhaltā rahe
kīleñ dhañstī raheñ ḳhuun ristā rahe
jhuuT aur ḳhauf kī aañkh aadī nahīñ
koī mujrim nahīñ maiñ fasādī nahīñ
tīr-o-dushnām kā vaar chaltā rahe
kīleñ dhañstī raheñ ḳhuun ristā rahe
main salib-e-ziyan par laTakti rahun
kilen dhansti rahen KHun rista rahe
ek amboh hai be-karan bad-zaban
ek sach jo sabhi par hai koh-e-giran
main tamasha rahun shor baDhta rahe
galiyan siTiyan chand KHamoshiyan
dohre mear ke faislon ki dukan
chup ki tadbir mein dil sanbhalta rahe
kilen dhansti rahen KHun rista rahe
jhuT aur KHauf ki aankh aadi nahin
koi mujrim nahin main fasadi nahin
tir-o-dushnam ka war chalta rahe
kilen dhansti rahen KHun rista rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.