samajh mein kuchh nahin aata
anhonī bhī ho jaatī hai
honī yūñhī hote hote rah jaatī hai
ūñche nīche ho jaate haiñ
Dūbne vaale dariyā paar utar jaate haiñ
aur terā ik samundar ke sāhil par Duub ke mar jaate haiñ
kuchh aise haiñ jin kī har ḳhvāhish hasrat meñ Dhal jaatī hai
kuchh aise haiñ jo ik ḳhvāhish hasrat hī meñ mar jaate haiñ
kis ke nasīb meñ kyā hai kaun kidhar jā.egā
kis kī qismat achchhī kaun barī pā.egā
sachchī bāteñ karne vaale kyuuñ suulī par chaḌh jaate haiñ
jhūTe shāhī kar jaate haiñ
sub.h ke bhūle shaam ko ghar vāpas nahīñ aate
shaam ke bhūle sub.h ko vāpas aa jaate haiñ
jhuuT aur sach kā ḳhair aur shar kā
kuchh me.aar to rakkhā hogā
jis ne duniyā qaa.em kī hai
us ne kuchh to sochā hogā
anhoni bhi ho jati hai
honi yunhi hote hote rah jati hai
unche niche ho jate hain
Dubne wale dariya par utar jate hain
aur tera ek samundar ke sahil par Dub ke mar jate hain
kuchh aise hain jin ki har KHwahish hasrat mein Dhal jati hai
kuchh aise hain jo ek KHwahish hasrat hi mein mar jate hain
kis ke nasib mein kya hai kaun kidhar jaega
kis ki qismat achchhi kaun bari paega
sachchi baaten karne wale kyun suli par chaDh jate hain
jhuTe shahi kar jate hain
subh ke bhule sham ko ghar wapas nahin aate
sham ke bhule subh ko wapas aa jate hain
jhuT aur sach ka KHair aur shar ka
kuchh mear to rakkha hoga
jis ne duniya qaem ki hai
us ne kuchh to socha hoga
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 466)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.