samay hi kuchh aisa tha
safed bāloñ
aur hiire kī kanī jaisī āñkhoñ vāloñ ke dil
sone kī Dalī se tarāshe jaate haiñ
vo nahīñ bolte
magar chaar atrāf
chāñdī jaise ujle lafz
muskurāne lagte haiñ
vo safed bādaloñ meñ
shaffāfiyat kā rañg bhar dete haiñ
āsmān kī nīlāhaT
bhar lete haiñ āñkhoñ meñ
jazb kar lete haiñ saat rañg
zindagī ke tajrbe kī aañch
un ke chehre par dhuāñ nahīñ bikhertī
vo apnā ujlā ruup hathelī par liye phirte haiñ
uchhāl dete haiñ sūraj kī taraf
dūdhiyā kirnoñ kā thaal
raat ke añdhere meñ
māhtāb chunñe nikaltā hai
un kā rūpahlā ruup
unheñ dekhte hī
jañgal ke daraḳhtoñ se
chhantī huī raushnī
raqs karne lagtī hai
magar merī āñkheñ
TaToltī rahtī haiñ añdherā
maiñ ne ek safed bāloñ vaale ko
ojhal hote dekh liyā thā
safed baalon
aur hire ki kani jaisi aankhon walon ke dil
sone ki Dali se tarashe jate hain
wo nahin bolte
magar chaar atraf
chandi jaise ujle lafz
muskurane lagte hain
wo safed baadalon mein
shaffafiyat ka rang bhar dete hain
aasman ki nilahaT
bhar lete hain aankhon mein
jazb kar lete hain sat rang
zindagi ke tajrbe ki aanch
un ke chehre par dhuan nahin bikherti
wo apna ujla rup hatheli par liye phirte hain
uchhaal dete hain suraj ki taraf
dudhiya kirnon ka thaal
raat ke andhere mein
mahtab chunne nikalta hai
un ka rupahla rup
unhen dekhte hi
jangal ke daraKHton se
chhanti hui raushni
raqs karne lagti hai
magar meri aankhen
TaTolti rahti hain andhera
main ne ek safed baalon wale ko
ojhal hote dekh liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.