samjhauta
maiñ ne maanā ki bahut dard meñ Duubī hai hayāt
sāz-e-hastī kā har ik taar shikasta hai abhī
lab pe afsurda tabassum ke sivā kuchh bhī nahīñ
phir bhī mahrūmī-e-qismat kā gila kaun kare
ziist har gaam pe maanā ki sisaktī hī rahī
raat phailā.e hue zulf bikhartī hī rahī
zulmat-e-shab ne sikhāyā mujhe jiine kā chalan
jab mai-e-dard hī piinā hai to phir ġham kaisā
maiñ ne maanā ki bahut dard meñ Duubī hai hayāt
ye bhī taslīm ki ab mūnis-o-ġham-ḳhvār nahīñ hai koī
tīrgī merā muqaddar hai muqaddar hī rahe
main ne mana ki bahut dard mein Dubi hai hayat
saz-e-hasti ka har ek tar shikasta hai abhi
lab pe afsurda tabassum ke siwa kuchh bhi nahin
phir bhi mahrumi-e-qismat ka gila kaun kare
zist har gam pe mana ki sisakti hi rahi
raat phailae hue zulf bikharti hi rahi
zulmat-e-shab ne sikhaya mujhe jine ka chalan
jab mai-e-dard hi pina hai to phir gham kaisa
main ne mana ki bahut dard mein Dubi hai hayat
ye bhi taslim ki ab munis-o-gham-KHwar nahin hai koi
tirgi mera muqaddar hai muqaddar hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.