samt ka sahra
kaisā lagtā hai ab
jab ho ga.e haiñ
ek jaise
chāroñ or chhor
sārbānoñ ke kahīñ
baiThte uThte muḌte TūTte
sar haiñ
na ūñToñ ke gale kī ghanTiyoñ kī
dūriyoñ ke dariyāoñ meñ
dhīre dhīre
Dūbtī
gūñjeñ
na kahīñ
ḳhachcharoñ pe baiThīñ
ḳhvāb buntīñ
ḳhāna-ba-dosh doshīzā.eñ
jin ke birhe sunñe
Thahar jaatā thā
sāvan
tumhāre sahn meñ bhī
shauq kī takmīl karne
shutar par
shab hī kī shab meñ
dariyā.ī sahrā.ī safar kar lauTne vaale
dilāvar
bhī nahīñ
kuchh bhī nahīñ
pasartī samtoñ meñ
ghūrtī tanhā.iyoñ ko
zard āñkheñ tumhārī
pal pal
phailtī jaatī
ek piilī saa.eñ saa.eñ
kaisa lagta hai ab
jab ho gae hain
ek jaise
chaaron or chhor
sarbanon ke kahin
baiThte uThte muDte TuTte
sar hain
na unTon ke gale ki ghanTiyon ki
duriyon ke dariyaon mein
dhire dhire
Dubti
gunjen
na kahin
KHachcharon pe baiThin
KHwab buntin
KHana-ba-dosh doshizaen
jin ke birhe sunne
Thahar jata tha
sawan
tumhaare sahn mein bhi
shauq ki takmil karne
shutar par
shab hi ki shab mein
dariyai sahrai safar kar lauTne wale
dilawar
bhi nahin
kuchh bhi nahin
pasarti samton mein
ghurti tanhaiyon ko
zard aankhen tumhaari
pal pal
phailti jati
ek pili saen saen
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 38)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.