samundar aaj chup hai
samundar aaj chup hai
koī halchal hī
na lahroñ kā tarannum
ek sannāTā
havā bhī sarsarānā bhuul kar
hai dam-ba-ḳhud sī
jhaag bhī
uḌnā machalnā bhuul kar
chup-chāp lipTā hai chaTānoñ se
ye ḳhāmoshī kisī tūfān kī aamad kā shāyad pesh-ḳhema hai
fazā kī sad-hazār āñkheñ
haiñ labrez āñsūoñ se
jo Tapak paḌte haiñ shabnam ban ke
aur phir jazb ho jaate haiñ
niile be-karāñ gahre samundar meñ
samundar aaj chup hai
haañ magar tūfān shāyad chup na baiThe
samundar aaj chup hai
koi halchal hi
na lahron ka tarannum
ek sannaTa
hawa bhi sarsarana bhul kar
hai dam-ba-KHud si
jhag bhi
uDna machalna bhul kar
chup-chap lipTa hai chaTanon se
ye KHamoshi kisi tufan ki aamad ka shayad pesh-KHema hai
faza ki sad-hazar aankhen
hain labrez aansuon se
jo Tapak paDte hain shabnam ban ke
aur phir jazb ho jate hain
nile be-karan gahre samundar mein
samundar aaj chup hai
han magar tufan shayad chup na baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.