samundar
hai samundar diid meñ terī fusūñ-kārī bahut
dekhne vāloñ kī kartā hai to dildārī bahut
har udāsī meñ tirī maujoñ kā dekhā hai fusūñ
muztarib zehnoñ ko detī haiñ tirī lahreñ sukūñ
kyā batā.ūñ terī maujoñ kī ravānī kā amal
gulsitān-e-shaiḳh-'sa.dī' hai ki ruumī kī ġhazal
nīm-shab mahtāb kī kirnoñ kā vo aks-e-jamīl
tah-ba-tah pighlī huī chāñdī hai rashk-e-salsabīl
tujh meñ aa kar mil gayā āb-e-ravān-e-mushkbū
jo rahā mahv-e-safar dariyā-ba-dariyā jū-ba-jū
god se terī jo paanī uTh ke bādal ban gayā
kisht par bārish to barg-o-gul pe shabnam ban gayā
fitrat-e-insān kā akkās hai terā junūñ
gah talātum maujzan lahroñ meñ gah rashk-e-sukūñ
nīlgūñ goshe se phir ḳhāvar su'ūd-āmāda hai
shoḳhī-e-fitrat kī akkāsī kā tū dil-dāda hai
mehr kī tābāniyāñ jab ġhusl detī haiñ tujhe
Dhāñp lete haiñ hayā se ghor bādal ke pare
tere siine par ye lahreñ maujzan haiñ kis liye
sang-e-sāhil par yūñhī tāqat-shikan haiñ kis liye
baḌh rahī hai mauj jo sāhil se Takrā jā.egī
tez-ro insānoñ ko shāyad ye samjhā jā.egī
josh meñ baḌhte haiñ jo aql-o-ḳhirad se be-niyāz
kar nahīñ paate vo apnī quvvatoñ kā irtikāz
nau-e-insāñ kī ḳhushī marhūn-e-minnat hai tirī
dūsroñ par ho atā goyā ye jannat hai tirī
chīrte rahte haiñ siine ko tire jangī jahāz
hazrat-e-insāñ kī sannā.ī hai kaisī kārsāz
zindagī paanī se hai aur aab kā mamba.a hai tū
dī buzurgī tujh ko ḳhāliq ne bahut arfa.a hai tū
ḳhushk aur pyāsī zamīñ terī atā se shaad hai
jis jagah terā amal hai vo jagah ābād hai
tū baḌā to hai takabbur se magar mahfūz hai
azmat-e-mālik tujhe har-ān yuuñ malhūz hai
terī maujeñ uTh ke jhukne meñ bahut hī tez haiñ
bārgāh-e-hazrat-e-ḳhāliq meñ sajda-rez haiñ
hai samundar did mein teri fusun-kari bahut
dekhne walon ki karta hai to dildari bahut
har udasi mein teri maujon ka dekha hai fusun
muztarib zehnon ko deti hain teri lahren sukun
kya bataun teri maujon ki rawani ka amal
gulsitan-e-shaiKH-'sadi' hai ki rumi ki ghazal
nim-shab mahtab ki kirnon ka wo aks-e-jamil
tah-ba-tah pighli hui chandi hai rashk-e-salsabil
tujh mein aa kar mil gaya aab-e-rawan-e-mushkbu
jo raha mahw-e-safar dariya-ba-dariya ju-ba-ju
god se teri jo pani uTh ke baadal ban gaya
kisht par barish to barg-o-gul pe shabnam ban gaya
fitrat-e-insan ka akkas hai tera junun
gah talatum maujzan lahron mein gah rashk-e-sukun
nilgun goshe se phir KHawar su'ud-amada hai
shoKHi-e-fitrat ki akkasi ka tu dil-dada hai
mehr ki tabaniyan jab ghusl deti hain tujhe
Dhanp lete hain haya se ghor baadal ke pare
tere sine par ye lahren maujzan hain kis liye
sang-e-sahil par yunhi taqat-shikan hain kis liye
baDh rahi hai mauj jo sahil se Takra jaegi
tez-ro insanon ko shayad ye samjha jaegi
josh mein baDhte hain jo aql-o-KHirad se be-niyaz
kar nahin pate wo apni quwwaton ka irtikaz
nau-e-insan ki KHushi marhun-e-minnat hai teri
dusron par ho ata goya ye jannat hai teri
chirte rahte hain sine ko tere jangi jahaz
hazrat-e-insan ki sannai hai kaisi karsaz
zindagi pani se hai aur aab ka mamba hai tu
di buzurgi tujh ko KHaliq ne bahut arfa hai tu
KHushk aur pyasi zamin teri ata se shad hai
jis jagah tera amal hai wo jagah aabaad hai
tu baDa to hai takabbur se magar mahfuz hai
azmat-e-malik tujhe har-an yun malhuz hai
teri maujen uTh ke jhukne mein bahut hi tez hain
bargah-e-hazrat-e-KHaliq mein sajda-rez hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.