samundar ki jaanib se aati hawa mein
kabhī nīlgūñ āsmāñ ke tale
sabz sāhil pe milne kā va.ada huā thā
samundar kisī ḳhvāb sā ḳhushnumā thā
samundar ke pahlū meñ
shahr-e-dil-afroz kā hamhama thā
ye shahr aaj ashkoñ meñ Duubā huā hai
yahāñ se vahāñ tak
har ik rahguzar par
ik aaseb kā sāmnā hai
nigāhoñ ke aage dhuāñ hai
samundar kahāñ hai
samundar ke sāhil pe milne kā va.ada huā thā
koī aaj bhī us bulāve kī ummīd meñ
ḳhud se rūThā huā hai
koī be-qarārī ke sāhil pe
āñkheñ bichhā.e khaḌā hai
koī rañj oḌhe hue so rahā hai
koī ḳhauf taane hue jāgtā hai
koī be-karāñ pyaas meñ Dūbtā hai
koī aas ke pāniyoñ ko
abas jhāgtā hai
ajab us zamīñ kī fazā hai
ajab aaj rañg-e-falak hai
samundar kī jānib se aatī havā meñ
lahū kī mahak hai
kabhi nilgun aasman ke tale
sabz sahil pe milne ka wada hua tha
samundar kisi KHwab sa KHushnuma tha
samundar ke pahlu mein
shahr-e-dil-afroz ka hamhama tha
ye shahr aaj ashkon mein Duba hua hai
yahan se wahan tak
har ek rahguzar par
ek aaseb ka samna hai
nigahon ke aage dhuan hai
samundar kahan hai
samundar ke sahil pe milne ka wada hua tha
koi aaj bhi us bulawe ki ummid mein
KHud se ruTha hua hai
koi be-qarari ke sahil pe
aankhen bichhae khaDa hai
koi ranj oDhe hue so raha hai
koi KHauf tane hue jagta hai
koi be-karan pyas mein Dubta hai
koi aas ke paniyon ko
abas jhagta hai
ajab us zamin ki faza hai
ajab aaj rang-e-falak hai
samundar ki jaanib se aati hawa mein
lahu ki mahak hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 490)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.