samundar ki tah mein
samundar kī tah meñ
samundar kī sañgīn tah meñ
hai sandūq
sandūq meñ ek Dibiyā meñ Dibiyā
meñ Dibiyā
meñ kitne ma.ānī kī sub.heñ
vo sub.heñ ki jin par risālat ke dar-band
apnī shuāoñ meñ jakḌī huī
kitnī sahmī huii!
(ye sandūq kyuuñ kar girā?
na jaane kisī ne churāyā?
hamāre hī hāthoñ se phislā?
phisal kar girā?
samundar kī tah meñ magar kab?
hamesha se pahle
hamesha se bhī sāl-hā-sāl pahle?
aur ab tak hai sandūq ke gird
lafzoñ kī rātoñ kā pahrā
vo lafzoñ kī rāteñ
jo devoñ kī mānind
paanī ke las-dar devoñ ke mānind
ye lafzoñ kī rāteñ
samundar kī tah meñ to bastī nahīñ haiñ
magar apne lā-raib pahre kī ḳhātir
vahīñ reñgtī haiñ
shab o roz
sandūq ke chaar sū reñgtī haiñ
samundar kī tah meñ!
bahut sochtā huuñ
kabhī ye ma.ānī kī pākīza sub.hoñ kī pariyāñ
rihā.ī kī ummīd meñ
apne ġhavvās jādū-garoñ kī
sadā.eñ suneñgī?
samundar ki tah mein
samundar ki sangin tah mein
hai sanduq
sanduq mein ek Dibiya mein Dibiya
mein Dibiya
mein kitne maani ki subhen
wo subhen ki jin par risalat ke dar-band
apni shuaon mein jakDi hui
kitni sahmi hui!
(ye sanduq kyun kar gira?
na jaane kisi ne churaya?
hamare hi hathon se phisla?
phisal kar gira?
samundar ki tah mein magar kab?
hamesha se pahle
hamesha se bhi sal-ha-sal pahle?
aur ab tak hai sanduq ke gird
lafzon ki raaton ka pahra
wo lafzon ki raaten
jo dewon ki manind
pani ke las-dar dewon ke manind
ye lafzon ki raaten
samundar ki tah mein to basti nahin hain
magar apne la-raib pahre ki KHatir
wahin rengti hain
shab o roz
sanduq ke chaar su rengti hain
samundar ki tah mein!
bahut sochta hun
kabhi ye maani ki pakiza subhon ki pariyan
rihai ki ummid mein
apne ghawwas jadu-garon ki
sadaen sunengi?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.