samundaron ke musafiro
use jis ne tumheñ bulā liyā hai samundaroñ ke musāfiro
use jā ke merā salām kahnā musāfiro
jo safar kī saarī sa.ūbatoñ se girāñ-bahā
jab tumhāre aur mire safīne kā nāḳhudā
do-jahāñ ke hama-zī-hayāt ye din ye raat bhī jis ke gird ruke hue haiñ
jahāñ zamīñ pe jhuke hue haiñ
kulāh tairte bādaloñ ke jo nuur hai hama-nūr hai
jahāñ sar jhukā ke vo jism chalte haiñ jin ko aag kī hiddatoñ ne janam diyā
jinheñ dekh saktā nahīñ koī
vo jo bhed haiñ
vahāñ vo milegā tumheñ zarūr har ik se miltā hai
duur duur se aate haiñ dekhne use dekhne
vo har ik ko detā hai zindagī
vo utaar letā hai bojh guzre hue diloñ kā
vo aane vaalī rutoñ ke chehre nikhār detā hai
lauT aate haiñ log jo use dekh kar unheñ log aate haiñ dekhne
use jā kar merā salām kahnā musāfiro
tumheñ pāniyoñ kī ravāniyoñ kā sukūñ mile
use jis ne tumhein bula liya hai samundaron ke musafiro
use ja ke mera salam kahna musafiro
jo safar ki sari saubaton se giran-baha
jab tumhaare aur mere safine ka naKHuda
do-jahan ke hama-zi-hayat ye din ye raat bhi jis ke gird ruke hue hain
jahan zamin pe jhuke hue hain
kulah tairte baadalon ke jo nur hai hama-nur hai
jahan sar jhuka ke wo jism chalte hain jin ko aag ki hiddaton ne janam diya
jinhen dekh sakta nahin koi
wo jo bhed hain
wahan wo milega tumhein zarur har ek se milta hai
dur dur se aate hain dekhne use dekhne
wo har ek ko deta hai zindagi
wo utar leta hai bojh guzre hue dilon ka
wo aane wali ruton ke chehre nikhaar deta hai
lauT aate hain log jo use dekh kar unhen log aate hain dekhne
use ja kar mera salam kahna musafiro
tumhein paniyon ki rawaniyon ka sukun mile
- Book : Pakistani Adab (Pg. 224)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.