Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sannaTa chiKH uThta hai

Aliya Mirza

sannaTa chiKH uThta hai

Aliya Mirza

MORE BYAliya Mirza

    havā laal īñToñ galiyoñ se guzartī

    sīlan-zada koThariyoñ meñ bachche jantī hai

    ghuTī ghuTī sāñseñ letī huī

    jab bāhar nikaltī hai

    to ThanD se kubḌī ho chukī hotī hai

    sīdhā chalne ḳhvāhish meñ

    ūñche nīche rastoñ par

    ghoḌoñ ke sumoñ tale

    kīchaḌ meñ lat-pat sar paTaḳhtī

    uThne koshish kartī hai

    aur reñgte reñgte kisī havelī meñ ghustī hai

    jahāñ raat sannāTā bain kar rahā hotā hai

    qadmoñ mānūs chāpoñ se

    havelī ke sannāToñ meñ

    guuñj darāḌeñ paḌne lagtī haiñ

    havā kise DhūñDhtī hai

    vo jāntī hai ki pasāroñ meñ ajdād ke fan lohā

    sandūqoñ meñ bharā paḌā hai

    purkhoñ ke afkār

    shelfoñ par qarīne se saje haiñ

    ek baḌe kamre meñ gol mez par

    kroshiye se kāḌhe hue rūmāl meñ

    us ne apnī āñkheñ bhī kaaḌh haiñ

    vo rotī huī

    rūmāl meñ kāḌhī huī āñkhoñ ko chūmtī hai

    aur havelī ke dar-o-dīvār se lipTī huī

    āḳhirī nishānī talāsh kar rahī hotī hai

    ki sannāTā chīḳh uThtā hai

    hawa lal inTon ki galiyon se guzarti

    silan-zada koThariyon mein bachche janti hai

    ghuTi ghuTi sansen leti hui

    jab bahar nikalti hai

    to ThanD se kubDi ho chuki hoti hai

    sidha chalne ki KHwahish mein

    unche niche raston par

    ghoDon ke sumon tale

    kichaD mein lat-pat sar paTaKHti

    uThne ki koshish karti hai

    aur rengte rengte kisi haweli mein ja ghusti hai

    jahan raat ka sannaTa bain kar raha hota hai

    qadmon ki manus si chapon se

    haweli ke sannaTon mein

    gunj ki daraDen paDne lagti hain

    hawa kise DhunDhti hai

    wo jaanti hai ki pasaron mein ajdad ke fan ka loha

    sanduqon mein bhara paDa hai

    purkhon ke afkar

    shelfon par qarine se saje hain

    ek baDe kamre mein gol mez par

    kroshiye se kaDhe hue rumal mein

    us ne apni aankhen bhi kaDh di hain

    wo roti hui

    rumal mein kaDhi hui aankhon ko chumti hai

    aur haweli ke dar-o-diwar se lipTi hui

    aaKHiri nishani talash kar rahi hoti hai

    ki sannaTa chiKH uThta hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now