sar-e-asman sar-e-zamin
ma.alūm nahīñ kyā huā ki jins mohabbat pe haavī ho ga.ī
goyā mohabbat haar ga.ī aur jins jiit ga.ī
jo haath haath meñ paivast ho sakte the
vo haath kahāñ haiñ
jo haath ko thāme kuchh duur chal sakte the
kyā un hāthoñ ko toḌ diyā gayā
vo haath kahāñ ga.e jo nazm likhte the
vo haath kahāñ ga.e jo āsmān ko zamīn par utaar sakte the
kaun kab kahāñ
pheñkā gayā
aur ab to jugnuoñ se bhare jañgal meñ maañ akelī hai
ek jugnū bhī nahīñ jo raushnī ko hisār kare
aur maañ ko us ke jilau meñ le aa.e
ab itnā samay nahīñ ki
āsmāñ yā zamīñ use bosa deñ
malum nahin kya hua ki jins mohabbat pe hawi ho gai
goya mohabbat haar gai aur jins jit gai
jo hath hath mein paiwast ho sakte the
wo hath kahan hain
jo hath ko thame kuchh dur chal sakte the
kya un hathon ko toD diya gaya
wo hath kahan gae jo nazm likhte the
wo hath kahan gae jo aasman ko zamin par utar sakte the
kaun kab kahan
phenka gaya
aur ab to jugnuon se bhare jangal mein man akeli hai
ek jugnu bhi nahin jo raushni ko hisar kare
aur man ko us ke jilau mein le aae
ab itna samay nahin ki
aasman ya zamin use bosa den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.