sar-e-mizhgan
raat ik ḳhvāb ne āñkheñ mire andar kholīñ
aur bistar kī shikan khīñch ke sīdhī kar dī
phir sirhāne se ikaTThe kiye guzre lamhe
ek tasvīr banā kar sar-e-mizhgāñ rakh dī
aañkh kholūñgī to ye bojh giregā aise
aañkh kā gumbad-e-sīmāb pighal jā.egā
mere sab ḳhvāboñ ḳhayāloñ ko nigal jā.egā
aur agar aañkh na kholī to ye girya karte
sar paTakte hue lamhe kisī dīmak kī tarah
aañkh ke band ġhilāfoñ se chipak jā.eñge
is imārat kā har ik naqsh miTā Dāleñge
ab jo karte haiñ ye bistar kā tavāf āhista
mere hone ke bahāne se zarā pahle hī
is darīche meñ ubhar aa.e sahar kī aahaT
sātveñ phere ke aane se zarā pahle hī
raat ek KHwab ne aankhen mere andar kholin
aur bistar ki shikan khinch ke sidhi kar di
phir sirhane se ikaTThe kiye guzre lamhe
ek taswir bana kar sar-e-mizhgan rakh di
aankh kholungi to ye bojh girega aise
aankh ka gumbad-e-simab pighal jaega
mere sab KHwabon KHayalon ko nigal jaega
aur agar aankh na kholi to ye girya karte
sar paTakte hue lamhe kisi dimak ki tarah
aankh ke band ghilafon se chipak jaenge
is imarat ka har ek naqsh miTa Dalenge
ab jo karte hain ye bistar ka tawaf aahista
mere hone ke bahane se zara pahle hi
is dariche mein ubhar aae sahar ki aahaT
satwen phere ke aane se zara pahle hi
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 40)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.