sar-e-rahe
guzar rahā thā lakhna.ū kī ek shāhrāh se
nazar ulajh ke rah ga.ī nigāh-e-mehr-o-māh se
gulāb ke libās meñ parī utar ke aa ga.ī
hayāt ban ke aa.ī thī hayāt ban ke chhā ga.ī
fazā meñ irti.āsh thā diloñ ke is gudāz se
ki jaise pī rahā thā maiñ nigāh-e-nīm-bāz se
un ahmarīñ laboñ pe ek raqs-e-nā-tamām thā
sukūt sā sukūt thā kalām sā kalām thā
maiñ us kī is adā se ḳhud hijāb khā ke rah gayā
vo muskurā ke rah ga.ī maiñ sar jhukā ke rah gayā
baḌhī vo saa.e kī tarah ravāñ-davāñ ravāñ-davāñ
maiñ us ke pīchhe ho liyā misāl-e-gard-e-kārvāñ
maiñ chāhtā thā hāl-e-dil sunā ke us ko chuum luuñ
pakaḌ ke donoñ hāthoñ ko fazā meñ jhuum jhuum luuñ
zabān-e-dil se phir kahūñ tumhīñ mirī bahār ho
sukūn-e-qalb-e-zār ho surūr-e-sad-ḳhumār ho
diloñ kī dhaḌkanoñ meñ ik ajiib iztirāb thā
qadam bahak rahe the aur sāmne shabāb thā
maiñ us se ye na kah sakā ki tum mirī hayāt ho
tilism hī faqat nahīñ tamām kā.enāt ho
hasīn-o-mah-jabīñ vo ek gul ke paas ruk ga.ī
nazar milā ke hañs paḌī guloñ kī shāḳh jhuk ga.ī
ba-sad-adā chalī ga.ī hasīñ mahal meñ vo parī
maiñ dil pakaḌ ke rah gayā ba-īñ ḳhayāl-e-dilbarī
guzar raha tha lakhnau ki ek shahrah se
nazar ulajh ke rah gai nigah-e-mehr-o-mah se
gulab ke libas mein pari utar ke aa gai
hayat ban ke aai thi hayat ban ke chha gai
faza mein irtiash tha dilon ke is gudaz se
ki jaise pi raha tha main nigah-e-nim-baz se
un ahmarin labon pe ek raqs-e-na-tamam tha
sukut sa sukut tha kalam sa kalam tha
main us ki is ada se KHud hijab kha ke rah gaya
wo muskura ke rah gai main sar jhuka ke rah gaya
baDhi wo sae ki tarah rawan-dawan rawan-dawan
main us ke pichhe ho liya misal-e-gard-e-karwan
main chahta tha haal-e-dil suna ke us ko chum lun
pakaD ke donon hathon ko faza mein jhum jhum lun
zaban-e-dil se phir kahun tumhin meri bahaar ho
sukun-e-qalb-e-zar ho surur-e-sad-KHumar ho
dilon ki dhaDkanon mein ek ajib iztirab tha
qadam bahak rahe the aur samne shabab tha
main us se ye na kah saka ki tum meri hayat ho
tilism hi faqat nahin tamam kaenat ho
hasin-o-mah-jabin wo ek gul ke pas ruk gai
nazar mila ke hans paDi gulon ki shaKH jhuk gai
ba-sad-ada chali gai hasin mahal mein wo pari
main dil pakaD ke rah gaya ba-in KHayal-e-dilbari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.