sar kaTe
hamāre iḳhtiyārāt ġhasab kar liye ga.e haiñ
in sar kaTe badan vāloñ ne
unhoñ ne baḌī dil-jam.ī se
apne sar apne apne dhaḌ se alag karvā liye
taaki vo pahchāne na jaa.eñ
unhoñ ne hameñ muñDeroñ par biThā diyā hai
taaki
jab havā tez chale to ham dūsrī taraf banī khaa.ī meñ gir paḌeñ
kabhī na uThne ke liye
vo samajhte haiñ
vo pahchāne nahīñ jā.eñge
aisā bhalā ho saktā hai
marne se pahle ham un ke sar DhūñD nikāleñge
aur jab vo havā.eñ chaleñgī
jo hamārā saath deñgī
ham un ke saroñ ko un ke sāmne kuchleñge
varna ek tarāzū hai
jis meñ ek taraf un ke sar hoñge
aur ek taraf ham sab
muāfiq havā shāyad hamārā saath de
hamare iKHtiyaraat ghasab kar liye gae hain
in sar kaTe badan walon ne
unhon ne baDi dil-jami se
apne sar apne apne dhaD se alag karwa liye
taki wo pahchane na jaen
unhon ne hamein munDeron par biTha diya hai
taki
jab hawa tez chale to hum dusri taraf bani khai mein gir paDen
kabhi na uThne ke liye
wo samajhte hain
wo pahchane nahin jaenge
aisa bhala ho sakta hai
marne se pahle hum un ke sar DhunD nikalenge
aur jab wo hawaen chalengi
jo hamara sath dengi
hum un ke saron ko un ke samne kuchlenge
warna ek taraazu hai
jis mein ek taraf un ke sar honge
aur ek taraf hum sab
muafiq hawa shayad hamara sath de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.