sarab
havā chalī to niile āsmāñ tale daraḳht jhūmne lage
yahāñ se duur aañkh meñ bane sarāb mauj mauj ban ke merī aañkh se lipaT ga.e
so tū batā ki
aaj kis ḳhushī meñ tere band hoñT khul ga.e
ki ik zamāna jab hamārī bebasī pe hañs rahā thā
tū ne ḳhāmushī se hoñT sil diye
aaj maiñ ḳhudā ko ye batā rahā huuñ
tū ne jis tarah
hamārī aañkh meñ rukī mohabbatoñ kā imtihāñ liyā
to man ke ret par darāḌ paḌ ga.e
usī samay
hamāre paas dil kī sarzamīñ kahīñ ḳhizāñ kī nazr ho ga.ī
havā thamī to phuul ḳhushbuoñ meñ qaid ho ga.e
daraḳht apnī jholiyoñ ko sānehoñ se bhar ga.e
so tū batā ki
aaj kis ḳhushī meñ tere band hoñT khul ga.e
hawa chali to nile aasman tale daraKHt jhumne lage
yahan se dur aankh mein bane sarab mauj mauj ban ke meri aankh se lipaT gae
so tu bata ki
aaj kis KHushi mein tere band honT khul gae
ki ek zamana jab hamari bebasi pe hans raha tha
tu ne KHamushi se honT sil diye
aaj main KHuda ko ye bata raha hun
tu ne jis tarah
hamari aankh mein ruki mohabbaton ka imtihan liya
to man ke ret par daraD paD gae
usi samay
hamare pas dil ki sarzamin kahin KHizan ki nazr ho gai
hawa thami to phul KHushbuon mein qaid ho gae
daraKHt apni jholiyon ko sanehon se bhar gae
so tu bata ki
aaj kis KHushi mein tere band honT khul gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.