sarab se sarab tak
vo qurbateñ
vo rāhateñ
vo dil-navāz sohbateñ
vo dilrubā sadāqateñ
vo ek lamha-e-tarab meñ
kā.enāt-e-rang-o-bū kī vus.ateñ
kahāñ haiñ ab
kahīñ haiñ sab
palak jhapakte hī vo kaise
ik sarāb kī tarah se
reg-zār-e-tishna-lab meñ dhañs ga.iiñ
habāb kī tarah vo kyoñ
havā kī ek choT se hī
TuuT kar bikhar ga.iiñ
ye dūriyāñ
ye fāsle
ye sust-gām fāsle
azaab se azaab tak
ye tishna-kām fāsle
sarāb se sarāb tak
jarāhatoñ ke dasht meñ
ye ḳhūñ-chakāñ fazā-e-dil
ye aable
ye ḳhāmushī
ye vasvasoñ kī gard se aTī
muhīb ḳhāmushī
jo Das rahī hai dam-ba-dam
har ek manzar-e-ḳhayāl ko
ye kis tarah ke ham-safar haiñ
kaise ye rafīq haiñ
magar ye mujh se kis qadar qarīb haiñ
ki ab tumhārī chāhatoñ ke
bas yahī halīf haiñ
wo qurbaten
wo rahaten
wo dil-nawaz sohbaten
wo dilruba sadaqaten
wo ek lamha-e-tarab mein
kaenat-e-rang-o-bu ki wusaten
kahan hain ab
kahin hain sab
palak jhapakte hi wo kaise
ek sarab ki tarah se
reg-zar-e-tishna-lab mein dhans gain
habab ki tarah wo kyon
hawa ki ek choT se hi
TuT kar bikhar gain
ye duriyan
ye fasle
ye sust-gam fasle
azab se azab tak
ye tishna-kaam fasle
sarab se sarab tak
jarahaton ke dasht mein
ye KHun-chakan faza-e-dil
ye aable
ye KHamushi
ye waswason ki gard se aTi
muhib KHamushi
jo Das rahi hai dam-ba-dam
har ek manzar-e-KHayal ko
ye kis tarah ke ham-safar hain
kaise ye rafiq hain
magar ye mujh se kis qadar qarib hain
ki ab tumhaari chahaton ke
bas yahi halif hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.