sarae
zindagī kyā sarā.e thī ki jahāñ
log aa.e musāfiroñ kī tarah
aur kuchh vaqt tak qiyām kiyā
shā.erī bhī huī latīfe bhī
kaif-o-mastī kī mahfileñ bhī sajīñ
aur phir ek ek kar ke sabhī
bazm se uTh ke chal diye ki unheñ
apnī manzil kī samt jaanā thā
aur ham is sarā.e meñ baiThe
aane vāloñ ke saath hañste hue
jaane vāloñ kā ġham bhulāte rahe
zindagi kya sarae thi ki jahan
log aae musafiron ki tarah
aur kuchh waqt tak qiyam kiya
shaeri bhi hui latife bhi
kaif-o-masti ki mahfilen bhi sajin
aur phir ek ek kar ke sabhi
bazm se uTh ke chal diye ki unhen
apni manzil ki samt jaana tha
aur hum is sarae mein baiThe
aane walon ke sath hanste hue
jaane walon ka gham bhulate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.