sarqa-o-tawarud
ek ālim-e-dīñ ne kisī shā.ir se kahā ye
andāz-e-takallum se ayaañ hai tire sarqa
ash.ār meñ auroñ ke tū kartā hai tasarruf
ye terā taḳhayyul hai ki 'ġhālib' kā hai charba
ye shoḳhī-o-jiddat tirī qudrat se hai bāhar
ye shai to haqīqat meñ buzurgoñ kā hai virsa
shā.ir ne adab se ye kahā ālim-e-dīñ se
taqlīd to hai fitrat-e-insāñ kā taqāzā
taqlīd se āzād nahīñ aap kā bhī zehn
is par bhī 'hanīfa'-o-'ġhazālī' kā hai ġhalba
taqrīr-o-mazāmīñ pe akābir ulmā ke
hazrat ko bhī kyā ḳhuub tasarruf kā hai malka
aap aur sharī.at ke ye pur-pech masā.il
kyā 'rūmī'-o-'rāzī' kā nahīñ ye bhī atiyya
qudrat ho tasarruf pe to jaa.ez hai tasarruf
nāyāb hai aqvāl-e-salaf kā ye ḳhazīna
insān ke a.amāl to niyyat pe haiñ mauqūf
niyyat ho agar saaf to shar kā nahīñ shub.ha
āgāh nahīñ aap tavārud ke amal se
afsos hai kahte haiñ tavārud ko bhī sarqa
jaa.ez ise rakkhā hai har ik ahl-e-nazar ne
Dhal jaa.e na.e jaam meñ gar bāda-e-kohna
tanqīd kareñ aap zarā soch samajh kar
ulTā na paḌe aap kī gardan pe ye harba
tanqīd kā fan is qadar āsān nahīñ hai
shohrat kā ise aap banā.eñ na zarīya
ek aalim-e-din ne kisi shair se kaha ye
andaz-e-takallum se ayan hai tere sarqa
ashaar mein auron ke tu karta hai tasarruf
ye tera taKHayyul hai ki 'ghaalib' ka hai charba
ye shoKHi-o-jiddat teri qudrat se hai bahar
ye shai to haqiqat mein buzurgon ka hai wirsa
shair ne adab se ye kaha aalim-e-din se
taqlid to hai fitrat-e-insan ka taqaza
taqlid se aazad nahin aap ka bhi zehn
is par bhi 'hanifa'-o-'ghazali' ka hai ghalba
taqrir-o-mazamin pe akabir ulma ke
hazrat ko bhi kya KHub tasarruf ka hai malka
aap aur shariat ke ye pur-pech masail
kya 'rumi'-o-'raazi' ka nahin ye bhi atiyya
qudrat ho tasarruf pe to jaez hai tasarruf
nayab hai aqwal-e-salaf ka ye KHazina
insan ke aamal to niyyat pe hain mauquf
niyyat ho agar saf to shar ka nahin shubha
aagah nahin aap tawarud ke amal se
afsos hai kahte hain tawarud ko bhi sarqa
jaez ise rakkha hai har ek ahl-e-nazar ne
Dhal jae nae jam mein gar baada-e-kohna
tanqid karen aap zara soch samajh kar
ulTa na paDe aap ki gardan pe ye harba
tanqid ka fan is qadar aasan nahin hai
shohrat ka ise aap banaen na zariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.