sarsayyad ahmad KHan
qaum sarsayyad kā ye ehsāñ bhulā saktī nahīñ
yaad un kī gardish-e-daurāñ miTā saktī nahīñ
qaum kī islāh-o-ḳhidmat meñ hazāroñ dukh sahe
āñdhiy.oñ kī zad pe tum karte rahe raushan diye
aap ne daur-e-jahālat se nikālā qaum ko
ilm aur tahzīb ke sāñche meñ Dhālā qaum ko
ḳhūn-e-dil se aap ne sīñchā hamārā ye chaman
jis meñ khulte aaj bhī haiñ ġhuncha-hā-e-ilm-o-fan
dars-gāh-e-ilm-o-dānish hai ye un kī yādgār
jo hamāre vāste hai bā.is-e-sad-iftiḳhār
aap kā raushan rahegā tā-abad duniyā meñ naam
qaum ke sab naunihāloñ ko hai sayyad kā payām
tum ko mere ḳhvāb kī ta.abīr honā chāhiye
ahl-e-ilm-o-sāhab-e-tadbīr honā chāhiye
qaum sarsayyad ka ye ehsan bhula sakti nahin
yaad un ki gardish-e-dauran miTa sakti nahin
qaum ki islah-o-KHidmat mein hazaron dukh sahe
aandhiyon ki zad pe tum karte rahe raushan diye
aap ne daur-e-jahaalat se nikala qaum ko
ilm aur tahzib ke sanche mein Dhaala qaum ko
KHun-e-dil se aap ne sincha hamara ye chaman
jis mein khulte aaj bhi hain ghuncha-ha-e-ilm-o-fan
dars-gah-e-ilm-o-danish hai ye un ki yaadgar
jo hamare waste hai bais-e-sad-iftiKHar
aap ka raushan rahega ta-abad duniya mein nam
qaum ke sab naunihaalon ko hai sayyad ka payam
tum ko mere KHwab ki tabir hona chahiye
ahl-e-ilm-o-sahab-e-tadbir hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.