sarzanish
bādal tum se kis ne kahā hai
chāñd ke aage aao
chāñd jhalak dikhlānā chāhe
chehra us kā chhupāo
bādal tum ko hai ye ḳhabar ki
chāñd hameñ hai pyārā
us kī ThanDak chāñdnī rāteñ
dil kā chain hamārā
bādal dekho zid na karo
tum baat hamārī maano
band karo ye chhupan-chhupā.ī
dil kī lagī ko jaano
chāñd hameñ gar milnā chāhe
tum na us ko Toko
chāhne vāloñ kī chāhat kā
rasta tum na roko
bādal tum ko DaañT diyā to
pahroñ phir tum ro.o.ge
chhājoñ meñh barsāoge
phir lambī taan ke so.oge
baadal tum se kis ne kaha hai
chand ke aage aao
chand jhalak dikhlana chahe
chehra us ka chhupao
baadal tum ko hai ye KHabar ki
chand hamein hai pyara
us ki ThanDak chandni raaten
dil ka chain hamara
baadal dekho zid na karo
tum baat hamari mano
band karo ye chhupan-chhupai
dil ki lagi ko jaano
chand hamein gar milna chahe
tum na us ko Toko
chahne walon ki chahat ka
rasta tum na roko
baadal tum ko DanT diya to
pahron phir tum rooge
chhajon meinh barsaoge
phir lambi tan ke sooge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.