Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sati

MORE BYRoohi Hayat

    log har sub.h

    mujhe batāte haiñ

    maiñ beva ho chukī huuñ

    aur maiñ har shaam

    dhaan ke khet jaisī

    vo saaḌī oḌh letī huuñ

    jis se ubharte mere

    sunahrī bāzuoñ ko

    vo gandum bāliyāñ kahtā thā

    tab

    mohabbat ḳhushbū ban kar

    dālān aur kamroñ meñ phail jaatī hai

    aur piano ko an-dekhī

    mut.harrik ungliyāñ gudgudātī haiñ

    aur maiñ ātish-dān ke paas

    baiTh kar kahānī sweater buntī huuñ

    mash.aloñ lau lambī hotī jaatī hai

    aur tavīl saa.e dīvāroñ par raqsāñ rahte haiñ

    havā mahīn pardoñ ko

    bāzuoñ meñ le kar

    aThkheliyāñ kartī hai

    chāñd sahme bachche tarah

    darīchoñ aur darzoñ se jhāñktā hai

    sub.h-dam

    jab sitāre raushnī ke samundar meñ

    ḳhud-kushī kar lete haiñ

    to

    vo tasvīr meñ vāpas chalā jaatā hai

    aur maiñ

    phir se satī ho jaatī huuñ

    log har subh

    mujhe batate hain

    main bewa ho chuki hun

    aur main har sham

    dhan ke khet jaisi

    wo saDi oDh leti hun

    jis se ubharte mere

    sunahri bazuon ko

    wo gandum ki baaliyan kahta tha

    tab

    mohabbat KHushbu ban kar

    dalan aur kamron mein phail jati hai

    aur piano ko an-dekhi

    mutharrik ungliyan gudgudati hain

    aur main aatish-dan ke pas

    baiTh kar kahani ka sweater bunti hun

    mashalon ki lau lambi hoti jati hai

    aur tawil sae diwaron par raqsan rahte hain

    hawa mahin pardon ko

    bazuon mein le kar

    aThkheliyan karti hai

    chand sahme bachche ki tarah

    darichon aur darzon se jhankta hai

    subh-dam

    jab sitare raushni ke samundar mein

    KHud-kushi kar lete hain

    to

    wo taswir mein wapas chala jata hai

    aur main

    phir se sati ho jati hun

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now