sawal-e-mazi-o-haal
merā bachpan bhī ḳhuub bachpan thā
merī duniyā bhī ḳhūbsūrat thī
dil meñ dahshat thī koī aur na ḳhauf
dostoñ meñ baḌī mohabbat thī
dekhte dekhte javān huā
aur duniyā badal ga.ī merī
pyaar ke jis pe phuul khilte the
vo hasīñ shāḳh jal ga.ī merī
aaj aalam na pūchhiye mujh se
har taraf ek ḳhauf taarī hai
pyaar kā gulsitāñ thā jo bhārat
us meñ nafrat kī jang jaarī hai
eid hotī to hai baroz-e-eid
eid kī sī ḳhushī nahīñ hotī
diip jalte to haiñ divālī ke
pyaar kī raushnī nahīñ hotī
phir unhīñ sā.atoñ ko lauTā de
ai ḳhudā-vand ai mire ma.abūd
phir ye hangāma ai ḳhudā kyā hai
jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
mera bachpan bhi KHub bachpan tha
meri duniya bhi KHubsurat thi
dil mein dahshat thi koi aur na KHauf
doston mein baDi mohabbat thi
dekhte dekhte jawan hua
aur duniya badal gai meri
pyar ke jis pe phul khilte the
wo hasin shaKH jal gai meri
aaj aalam na puchhiye mujh se
har taraf ek KHauf tari hai
pyar ka gulsitan tha jo bhaarat
us mein nafrat ki jang jari hai
eid hoti to hai baroz-e-eid
eid ki si KHushi nahin hoti
dip jalte to hain diwali ke
pyar ki raushni nahin hoti
phir unhin saaton ko lauTa de
ai KHuda-wand ai mere mabud
phir ye hangama ai KHuda kya hai
jab ki tujh bin nahin koi maujud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.