sawal
ye saarī duniyā savāliya hai
har ek chehra savāl andar savāl hai aur
har ek manzar savāl ban kar
javāb kā muntazir khaḌā hai
agar koī sāmne bhī aa.e
aur aa ke ik baat kā bhī ham ko
javāb de de
to dar-haqīqat javāb meñ bhī
na jaane kitne savāl hoñge
hazār-hā nit-na.e masā.il hameñ mileñge
ki aaj tak to yahī huā hai
javāb hī se savāl nikle
javāb hī meñ savāl DhūñDe
ye saarī duniyā savāliya hai
ḳhud aadmī ik savāl hai aur
usī ne paiham savāl uThā ke
savāl karne kī riit Daalī
savāl-e-avval bhī aadmī hai
savāl-e-āḳhir bhī aadmī hai
javāb-e-mutlaq bhī aadmī hai
agar yaqīñ ho
to aadmī par kamand Dāleñ
savāl hī meñ javāb DhūñDeñ
ye sari duniya sawaliya hai
har ek chehra sawal andar sawal hai aur
har ek manzar sawal ban kar
jawab ka muntazir khaDa hai
agar koi samne bhi aae
aur aa ke ek baat ka bhi hum ko
jawab de de
to dar-haqiqat jawab mein bhi
na jaane kitne sawal honge
hazar-ha nit-nae masail hamein milenge
ki aaj tak to yahi hua hai
jawab hi se sawal nikle
jawab hi mein sawal DhunDe
ye sari duniya sawaliya hai
KHud aadmi ek sawal hai aur
usi ne paiham sawal uTha ke
sawal karne ki rit Dali
sawal-e-awwal bhi aadmi hai
sawal-e-aKHir bhi aadmi hai
jawab-e-mutlaq bhi aadmi hai
agar yaqin ho
to aadmi par kamand Dalen
sawal hi mein jawab DhunDen
- Book : Ishq ki taqveem me.n (Pg. 117)
- Author : HARIS KHALEEQ
- Publication : Hoori Nurani, Maktaba Daniyal, Victoria Chaimber 2 (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.