sawera
merī sāñsoñ meñ soyā huā āsmāñ jaag uThā
ḳhuuñ kī raftār ko chiir kar gir paḌī raushnī zindagī!
zindagī is zamīñ par
zamīñ par samundar
samundar kā shaffāf paanī ravānī
ravānī kī uñglī pakaḌ kar
ka.ī rañg maujoñ kā āhañg ban kar chale
apne hone kā nairañg ban kar chale
saat pātāl kī kokh hai
phūTī anjān sadiyāñ, yugoñ kī tapassyā
badan ke ghane jañgaloñ meñ
vo rishiyoñ kaa, muniyoñ kā barsoñ kā tap
vo bhūle zamānoñ ke mub.ham kināre
vo mānūs retoñ pe bantī bigaḌtī ka.ī sā.ateñ, ranjisheñ, rāhateñ,
aaj phir se palaT aa.ī haiñ mujh meñ be-sāḳhta!
merī sāñsoñ ke andar chamakte sitāre
utaar ab bujhī raat kī ye qabā
jagmagā ki
lahū meñ havāoñ kā pherā huā
ḳhalā ke dahan meñ saverā huā
mirī ruuh kā rañg terā huā
meri sanson mein soya hua aasman jag uTha
KHun ki raftar ko chir kar gir paDi raushni zindagi!
zindagi is zamin par
zamin par samundar
samundar ka shaffaf pani rawani
rawani ki ungli pakaD kar
kai rang maujon ka aahang ban kar chale
apne hone ka nairang ban kar chale
sat patal ki kokh hai
phuTi anjaan sadiyan, yugon ki tapassya
badan ke ghane jangalon mein
wo rishiyon ka, muniyon ka barson ka tap
wo bhule zamanon ke mubham kinare
wo manus reton pe banti bigaDti kai saaten, ranjishen, rahaten,
aaj phir se palaT aai hain mujh mein be-saKHta!
meri sanson ke andar chamakte sitare
utar ab bujhi raat ki ye qaba
jagmaga ki
lahu mein hawaon ka phera hua
KHala ke dahan mein sawera hua
meri ruh ka rang tera hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.