school se ghar
ghanTī bajī schōl chhuTā hai
hangāma sā ek bapā hai
gate par aa kar Thahrī lorry
ham sab baiTheñ baarī baarī
farrāTe vo bhartī niklī
har ik ke vo ghar tak pahuñchī
jab vo hamāre ghar par Thahrī
bilqīs utrī maiñ bhī utrī
ham ne qadam jab ghar meñ rakkhā
Tahal rahe the baaġh meñ abbā
maamā jī ne ham ko dekhā
duur hī se ammī ko pukārā
lījiye begam sāhib aa.iiñ
bachchiyāñ donoñ ab ghar pahuñchīñ
ammī hamārī pyārī ammī
raah thiiñ taktī chaa.e pe baiThī
chaa.e abhī ham pī hī rahe the
amjad māmūñ car le aa.e
chalo chalo ab sair ko nikleñ
sīdhe bāġh-e-ām ko jaa.eñ
raat kā jab chhā jaa.e añdherā
us vaqt aa kar paḌh likh lenā
ghanTi baji school chhuTa hai
hangama sa ek bapa hai
gate par aa kar Thahri lorry
hum sab baiThen bari bari
farraTe wo bharti nikli
har ek ke wo ghar tak pahunchi
jab wo hamare ghar par Thahri
bilqis utri main bhi utri
hum ne qadam jab ghar mein rakkha
Tahal rahe the bagh mein abba
mama ji ne hum ko dekha
dur hi se ammi ko pukara
lijiye begam sahib aain
bachchiyan donon ab ghar pahunchin
ammi hamari pyari ammi
rah thin takti chae pe baiThi
chae abhi hum pi hi rahe the
amjad mamun car le aae
chalo chalo ab sair ko niklen
sidhe bagh-e-am ko jaen
raat ka jab chha jae andhera
us waqt aa kar paDh likh lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.