seb
saath meñ ik din ham paapā ke
seboñ ke ik baaġh meñ pahuñche
baaġh meñ jitne peḌ khaḌe the
seboñ se sab lade paḌe the
pakke seb the surḳh aur piile
lekin kachche seb hare the
paapā ne kuchh seb ḳharīde
hameñ khilā.e ḳhud bhī khaa.e
'ra.anā' bolī aap ne paapā
seb kā sālan pakvāyā thā
paapā bole 'ra.anā' beTī
ye phal hai aur tarkārī bhī
kachche seb kā sālan khā.eñ
pakke yuuñ hī chaT kar jaa.eñ
sath mein ek din hum papa ke
sebon ke ek bagh mein pahunche
bagh mein jitne peD khaDe the
sebon se sab lade paDe the
pakke seb the surKH aur pile
lekin kachche seb hare the
papa ne kuchh seb KHaride
hamein khilae KHud bhi khae
'rana' boli aap ne papa
seb ka salan pakwaya tha
papa bole 'rana' beTi
ye phal hai aur tarkari bhi
kachche seb ka salan khaen
pakke yun hi chaT kar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.