shaer ka KHwab
mere pote ne oxigen kā basta
apnī piiTh par bāñdh kar
ijāzat māñgī
ḳhalā ke safar ke liye
mere beTe ne jo raushnī ko gin
rahā thā mez par
apnī nigāhoñ ke do savāliya
shānoñ ko
uchhāl diyā merī taraf
maiñ ne davā kī goliyoñ ke rakhte hue
ek marīza ke nahīf haath meñ
apnī jhurriyoñ ke bhañvar se
pheñk dayā do nigāhoñ kā savāl
pusht kī dīvār par
jahāñ ek shā.erī kī tasvīr hai
Tañgī huī
vo mere baabā haiñ
ki ḳhvāb kī duniyā basāne vaale
shā.er ke
ḳhvāboñ kī ye tīsrī ta.abīr thī
ek pal ḳhāmushī rahī
ek pal ke ba.ad
hoñToñ ke chand phuul khile
jabīñ par ik chāñd ugā aur
phir ġhurūb ho gayā
aur
duur ḳhalāoñ meñ upar ko tairtī huī
machine kī āvāz
maddham hotī chalī ga.ī
mere pote ne oxigen ka basta
apni piTh par bandh kar
ijazat mangi
KHala ke safar ke liye
mere beTe ne jo raushni ko gin
raha tha mez par
apni nigahon ke do sawaliya
shanon ko
uchhaal diya meri taraf
main ne dawa ki goliyon ke rakhte hue
ek mariza ke nahif hath mein
apni jhurriyon ke bhanwar se
phenk daya do nigahon ka sawal
pusht ki diwar par
jahan ek shaeri ki taswir hai
Tangi hui
wo mere baba hain
ki KHwab ki duniya basane wale
shaer ke
KHwabon ki ye tisri tabir thi
ek pal KHamushi rahi
ek pal ke baad
honTon ke chand phul khile
jabin par ek chand uga aur
phir ghurub ho gaya
aur
dur KHalaon mein upar ko tairti hui
machine ki aawaz
maddham hoti chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.