shaer
shā.er
sipāhī kī tarah nahīñ hote
aur isī liye
jañg meñ kaam nahīñ aate
aur havā nahīñ ban sakte
paanī nahīñ ban sakte
aur aag bhī nahīñ ban sakte
vo bārish ban jaate haiñ
aur har taraf barasne lagte haiñ
vo chiḌiyā ban jaate haiñ
aur daraḳhtoñ kī hifāzat karte haiñ
vo jahāz ban jaate haiñ
aur bādaloñ ko chhūne lagte haiñ
koshish karte haiñ shā.er
ḳhushī ban jaane kī
apnī hatheliyoñ ko joḌ kar
duniyā bhar ke aañsū jam.a karne kī
koshish karte haiñ shā.er
ki ek bhī qatra miTTī meñ na milne paa.e
tar-coal meñ na jamne paa.e
ehsās hotā hai unheñ motiyoñ kī qadar-o-qīmat kā
apne ḳhvāboñ kī reshmī Dor se maalā banāte rahte haiñ
sitāre nahīñ joḌte vo
āñsuoñ ke saath
phuul nahīñ pirote os meñ Duube hue
apnī is Dor meñ bahut sī chīzeñ chhoḌ dete haiñ
vo ḳhālī rah jaane vaale diloñ ke liye
daraḳhtoñ ko be-jagah nahīñ karte
saaya nahīñ churāte un kā
gilahriyoñ ko nahīñ mārte
apnī jeb meñ chhupī muñg-phaliyāñ
daraḳht ke paas rakh ke
na jaane kahāñ chale jaate haiñ
nazar hī nahīñ aate
daraḳht batā nahīñ paate
ki shā.er āsmān ko chhūtā
ek daraḳht ban ke
duniyā meñ samā ga.e haiñ
shaer
sipahi ki tarah nahin hote
aur isi liye
jang mein kaam nahin aate
aur hawa nahin ban sakte
pani nahin ban sakte
aur aag bhi nahin ban sakte
wo barish ban jate hain
aur har taraf barasne lagte hain
wo chiDiya ban jate hain
aur daraKHton ki hifazat karte hain
wo jahaz ban jate hain
aur baadalon ko chhune lagte hain
koshish karte hain shaer
KHushi ban jaane ki
apni hatheliyon ko joD kar
duniya bhar ke aansu jama karne ki
koshish karte hain shaer
ki ek bhi qatra miTTi mein na milne pae
tar-coal mein na jamne pae
ehsas hota hai unhen motiyon ki qadar-o-qimat ka
apne KHwabon ki reshmi Dor se mala banate rahte hain
sitare nahin joDte wo
aansuon ke sath
phul nahin pirote os mein Dube hue
apni is Dor mein bahut si chizen chhoD dete hain
wo KHali rah jaane wale dilon ke liye
daraKHton ko be-jagah nahin karte
saya nahin churaate un ka
gilahriyon ko nahin marte
apni jeb mein chhupi mung-phaliyan
daraKHt ke pas rakh ke
na jaane kahan chale jate hain
nazar hi nahin aate
daraKHt bata nahin pate
ki shaer aasman ko chhuta
ek daraKHt ban ke
duniya mein sama gae hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 739)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.