shaeri ka kaam mauquf hua
mohabbat kī ek kahānī meñ
nyūkliyā.ī bam ījād huā
kaan samā.at aur āñkheñ basārat se mahrūm ho ga.iiñ
maiñ ne kāġhaz se dollar banāyā
aur dil ḳharīd liyā
gandum samundar meñ bahā dī
aur bhuuk khāne lagā
dil se dard aur aañkh se aañsū ruḳhsat ho ga.e
'bāqar' sāhib mar ga.e
mohammad ḳhālid vice principal ho ga.e
āftāb husain ne adabī aḳhbār jaarī kar liyā
aur maiñ shahr sultān jā baiThā
shā.erī kā kaam mauqūf huā
din hāthoñ se nikalte jā rahe haiñ
mujhe jauharī bam kahīñ chhupā denā chāhiye
aisā na ho ki 'sirāj' khelne ke liye le jaa.e
dollar ke kāġhaz par
mohabbat kā qā.eda chhāp denā chāhiye
taaki hamāre bachche
hiroshima aur nagasaki
sair ke liye jā sakeñ
mohabbat ki ek kahani mein
nyukliyai bam ijad hua
kan samaat aur aankhen basarat se mahrum ho gain
main ne kaghaz se dollar banaya
aur dil KHarid liya
gandum samundar mein baha di
aur bhuk khane laga
dil se dard aur aankh se aansu ruKHsat ho gae
'baqar' sahib mar gae
mohammad KHalid wice principal ho gae
aaftab husain ne adabi aKHbar jari kar liya
aur main shahr sultan ja baiTha
shaeri ka kaam mauquf hua
din hathon se nikalte ja rahe hain
mujhe jauhari bam kahin chhupa dena chahiye
aisa na ho ki 'siraj' khelne ke liye le jae
dollar ke kaghaz par
mohabbat ka qaeda chhap dena chahiye
taki hamare bachche
hiroshima aur nagasaki
sair ke liye ja saken
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.