shair
bayāñ kyā tujh se ho hamdam ki shā.ir kaun hai kyā hai
vo is duniyā meñ rah kar aur hī aalam meñ rahtā hai
kabhī taḳh.īl kī pahnā.iyoñ meñ gum sā phirtā hai
kabhī kaun-o-makāñ kī vus.atoñ meñ Duub jaatā hai
agar tafsīl ho darkār jo shā.ir kī fitrat kī
huī hai muḳhtasar ash.ār meñ tafsīr shā.ir kī
tabassum-kesh taskīñ-dah tamaddun-sāz hotā hai
hayāt-afroz zauq-e-dīd kā dam-sāz hotā hai
jahān-e-hosh kā sarmāya-e-sad-nāz hotā hai
har ik andāz meñ sarmastiyoñ kā raaz hotā hai
shu.ūr-e-zindagī jis ke tafakkur se sañvartā hai
jahān-e-rang-o-bū jis kī nigāhoñ meñ nikhartā hai
ye jalve ye bahāreñ ye gulistāñ jis ke dam se hai
hayāt-e-shauq kī taskīñ kā sāmāñ jis ke dam se hai
ye har mumkin bahār-e-bazm-e-imkāñ jis ke dam se hai
lab-e-ejāz se hastī ġhazal-ḳhvāñ jis ke dam se hai
ye sab sar-garmī-e-ehsās hai shā.ir kī hastī se
surūr-o-kaif kī sarmastiyāñ haiñ us kī mastī se
bahr-ālam salīqe azm-o-himmat kā sikhātā hai
bahar-sūrat jamāl-e-azmat-e-hastī dikhātā hai
surūd-e-zindagī par zindagī ke giit gaatā hai
jahāñ dil sard paḌ jaate haiñ shā.ir muskurātā hai
nishān-e-azmat-e-insāniyat kā naam hai shā.ir
sarāpā lutf-o-azm-o-hosh kā paiġhām hai shā.ir
bayan kya tujh se ho hamdam ki shair kaun hai kya hai
wo is duniya mein rah kar aur hi aalam mein rahta hai
kabhi taKHil ki pahnaiyon mein gum sa phirta hai
kabhi kaun-o-makan ki wusaton mein Dub jata hai
agar tafsil ho darkar jo shair ki fitrat ki
hui hai muKHtasar ashaar mein tafsir shair ki
tabassum-kesh taskin-dah tamaddun-saz hota hai
hayat-afroz zauq-e-did ka dam-saz hota hai
jahan-e-hosh ka sarmaya-e-sad-naz hota hai
har ek andaz mein sarmastiyon ka raaz hota hai
shuur-e-zindagi jis ke tafakkur se sanwarta hai
jahan-e-rang-o-bu jis ki nigahon mein nikharta hai
ye jalwe ye bahaaren ye gulistan jis ke dam se hai
hayat-e-shauq ki taskin ka saman jis ke dam se hai
ye har mumkin bahaar-e-bazm-e-imkan jis ke dam se hai
lab-e-ejaz se hasti ghazal-KHwan jis ke dam se hai
ye sab sar-garmi-e-ehsas hai shair ki hasti se
surur-o-kaif ki sarmastiyan hain us ki masti se
bahr-alam saliqe azm-o-himmat ka sikhata hai
bahar-surat jamal-e-azmat-e-hasti dikhata hai
surud-e-zindagi par zindagi ke git gata hai
jahan dil sard paD jate hain shair muskuraata hai
nishan-e-azmat-e-insaniyat ka nam hai shair
sarapa lutf-o-azm-o-hosh ka paigham hai shair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.