shair ke irade
zulmat ke har nishān miTā kar rahūñgā maiñ
parde jahālatoñ ke uThā kar rahūñgā maiñ
gul ho chuke nizām-e-kohan ke diye tamām
koī nayā charāġh jalā kar rahūñgā maiñ
shā.ir huuñ inqalāb kī dhun hai mujhe mudām
bigḌī huī ravish ko banā kar rahūñgā maiñ
merī navā suneñge javānān-e-sarfarosh
ḳhvābīda ġhairatoñ ko jagā kar rahūñgā maiñ
lau de uTheñge qaum ke jazbāt garm garm
siine meñ sab ke aag lagā kar rahūñgā maiñ
apnī fuġhān-e-nīm-shabī kī mujhe qasam
hindostāñ ko ḳhuld banā kar rahūñgā maiñ
is kashmakash meñ jaan kī baazī lagā.ūñgā
duniyā ko ye bhī khel dikhā kar rahūñgā maiñ
denā vatan pe jaan hayāt-e-davām hai
ye raaz har bashar ko batā kar rahūñgā maiñ
ahl-e-jafā se jang javānoñ kā farz hai
is farz ko 'bahār' nibhā kar rahūñgā meñ
zulmat ke har nishan miTa kar rahunga main
parde jahaalaton ke uTha kar rahunga main
gul ho chuke nizam-e-kohan ke diye tamam
koi naya charagh jala kar rahunga main
shair hun inqalab ki dhun hai mujhe mudam
bigDi hui rawish ko bana kar rahunga main
meri nawa sunenge jawanan-e-sarfarosh
KHwabida ghairaton ko jaga kar rahunga main
lau de uThenge qaum ke jazbaat garm garm
sine mein sab ke aag laga kar rahunga main
apni fughan-e-nim-shabi ki mujhe qasam
hindostan ko KHuld bana kar rahunga main
is kashmakash mein jaan ki bazi lagaunga
duniya ko ye bhi khel dikha kar rahunga main
dena watan pe jaan hayat-e-dawam hai
ye raaz har bashar ko bata kar rahunga main
ahl-e-jafa se jang jawanon ka farz hai
is farz ko 'bahaar' nibha kar rahunga mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.