shair se KHitab
mulk meñ jab inqalāb taaza lā sakte nahīñ
bijliyāñ jab ḳhirman-e-dil par girā sakte nahīñ
sho.ala-afshānī-e-barq-e-nāla-e-pur-soz se
aag jab dāmān-e-mahfil meñ lagā sakte nahīñ
jab na khele jalvatoñ meñ shāhid-e-ilhām se
jab harīm-e-nāz ke parde uThā sakte nahīñ
jalva-e-husn-e-ma.ānī se na señkī jab nigāh
jab urūs-e-fikr kī ḳhalvat sajā sakte nahīñ
jab badal sakte nahīñ kuchh gardish-e-daurāñ kī chaal
apne mustaqbil ko jab maazī banā sakte nahīñ
ahd-e-hāzir meñ vafūr-e-jazba-e-betāb se
saarī duniyā ko jab ik markaz pe lā sakte nahīñ
husn meñ bharte nahīñ jab ishq kā barqī asar
ishq meñ jab husn kā jaadū jagā sakte nahīñ
khīñch sakte jab nahīñ naqsha nigāh-e-shauq kā
jab nigāhoñ ko taḌap dil kī dikhā sakte nahīñ
aise shā.ir kā suḳhan nā-qābil-e-tahsīn hai
shā.irī aisī mazāq-e-sher kī tauhīn hai
mulk mein jab inqalab taza la sakte nahin
bijliyan jab KHirman-e-dil par gira sakte nahin
shoala-afshani-e-barq-e-nala-e-pur-soz se
aag jab daman-e-mahfil mein laga sakte nahin
jab na khele jalwaton mein shahid-e-ilham se
jab harim-e-naz ke parde uTha sakte nahin
jalwa-e-husn-e-maani se na senki jab nigah
jab urus-e-fikr ki KHalwat saja sakte nahin
jab badal sakte nahin kuchh gardish-e-dauran ki chaal
apne mustaqbil ko jab mazi bana sakte nahin
ahd-e-hazir mein wafur-e-jazba-e-betab se
sari duniya ko jab ek markaz pe la sakte nahin
husn mein bharte nahin jab ishq ka barqi asar
ishq mein jab husn ka jadu jaga sakte nahin
khinch sakte jab nahin naqsha nigah-e-shauq ka
jab nigahon ko taDap dil ki dikha sakte nahin
aise shair ka suKHan na-qabil-e-tahsin hai
shairi aisi mazaq-e-sher ki tauhin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.