shaKH-e-tamasha
maiñ kahtā huuñ ki tū merī nahīñ koī to kahtī hai ki tū merā
nahīñ koī havā meñ rang hai ḳhushbū hai maiñ kahtā huuñ
ḳhushbū hai havā meñ rang hai to bhī ye kahtī hai chahaktī shaam
kī chiḌiyoñ kī āvāz-e-musalsal meñ sitāra shaam kā mujh ko
bulātā hai to terā naam letā hai sitāra shaam kā tujh ko bulātā
hai to merā naam letā hai magar donoñ ye kahte haiñ sitāra
koī bhī chamkā nahīñ ab tak kahāñ kā naam aur kis ko bulānā
aur phir to mujh se kahtī hai ki duurī kī hadoñ par terī
sāñseñ merī sāñsoñ se nahīñ uljhīñ maiñ
kahtā huuñ ki duurī kī hadoñ par terī sāñseñ merī
sāñsoñ se nahīñ uljhīñ kabhī ham niiñd meñ bāteñ kareñ
ik dūsre ke paas hoñ yā ḳhvāb kī dīvār par baiThe
hue ik dūsre ke ghar meñ jhāñkeñ phir kahīñ kuchh
bhī nahīñ thā to kahīñ thī maiñ kahīñ thā aur kabhī hāthoñ
meñ haath aur ik masāfat ho kabhī jangal kī paanī kī
kabhī donoñ havā meñ tairte hoñ aur yak dam chauñk jaa.eñ
aur kaheñ kyā haath aur kaisī masāfat kaise jangal kaisā paanī saath
chalnā ḳhvāb hai sab ḳhvāb hai sab ḳhvāb bhī to ik haqīqat hai
to phir inkār kar deñ ḳhvāb kā maujūd kā aur duur kā inkār sab
inkār kyā ham haiñ kahāñ haiñ kyoñ haiñ kyā kuchh māvarā hai
yā yahī sab hai magar kuchh bhī nahīñ khultā ki ham vo qufl haiñ jis
par samay kā zang baḌhtā jā.egā paiham kabhī donoñ ye māneñ
dil ke rishte ḳhuuñ se baḌh kar haiñ magar dil ko TaToleñ aur
kahīñ kuchh bhī nahīñ miltā tū mere vāste pāgal ho aur maiñ
terī ḳhātir huuñ magar duniyā to kyā phir ḳhud se bhī sharmindagī ho
haa.e maiñ tere liye pāgal thī maiñ tere liye kab thā
kabhī ham jāgne sone kī ik kaifiyyat-e-be-tarah meñ ro.eñ hañseñ
aur āsmāñ sī ḳhāmushī meñ lipTe dekhe jaa.eñ bāham aur
rasā.ī ke baḌhe hāthoñ se Takrā.e koī dīvār shaffāf
aur nādīda to ham donoñ kahīñ to Thiik hai apnī jagah
tū bhī ki tū merī nahīñ koī ki tū merā nahīñ
main kahta hun ki tu meri nahin koi to kahti hai ki tu mera
nahin koi hawa mein rang hai KHushbu hai main kahta hun
KHushbu hai hawa mein rang hai to bhi ye kahti hai chahakti sham
ki chiDiyon ki aawaz-e-musalsal mein sitara sham ka mujh ko
bulata hai to tera nam leta hai sitara sham ka tujh ko bulata
hai to mera nam leta hai magar donon ye kahte hain sitara
koi bhi chamka nahin ab tak kahan ka nam aur kis ko bulana
aur phir to mujh se kahti hai ki duri ki hadon par teri
sansen meri sanson se nahin uljhin main
kahta hun ki duri ki hadon par teri sansen meri
sanson se nahin uljhin kabhi hum nind mein baaten karen
ek dusre ke pas hon ya KHwab ki diwar par baiThe
hue ek dusre ke ghar mein jhanken phir kahin kuchh
bhi nahin tha to kahin thi main kahin tha aur kabhi hathon
mein hath aur ek masafat ho kabhi jangal ki pani ki
kabhi donon hawa mein tairte hon aur yak dam chaunk jaen
aur kahen kya hath aur kaisi masafat kaise jangal kaisa pani sath
chalna KHwab hai sab KHwab hai sab KHwab bhi to ek haqiqat hai
to phir inkar kar den KHwab ka maujud ka aur dur ka inkar sab
inkar kya hum hain kahan hain kyon hain kya kuchh mawara hai
ya yahi sab hai magar kuchh bhi nahin khulta ki hum wo qufl hain jis
par samay ka zang baDhta jaega paiham kabhi donon ye manen
dil ke rishte KHun se baDh kar hain magar dil ko TaTolen aur
kahin kuchh bhi nahin milta tu mere waste pagal ho aur main
teri KHatir hun magar duniya to kya phir KHud se bhi sharmindagi ho
hae main tere liye pagal thi main tere liye kab tha
kabhi hum jagne sone ki ek kaifiyyat-e-be-tarah mein roen hansen
aur aasman si KHamushi mein lipTe dekhe jaen baham aur
rasai ke baDhe hathon se Takrae koi diwar shaffaf
aur nadida to hum donon kahin to Thik hai apni jagah
tu bhi ki tu meri nahin koi ki tu mera nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.