sham hui to buDha tota
shaam huī to būḌhā totā
bargad kī Tahnī par baiThā
soch rahā thā ab kyā hogā
khāne ko kyā rakkhā hogā
roTī halva yaad aatā thā
chhat ka saaya yaad aatā thā
tab vo jangal meñ chillāyā
haa.e añdherā hone aaya
aao bachcho khaao chūrī
sab kī aadhī merī puurī
chiḌiyāñ us kī bāteñ sun kar
hañstī thiiñ shāḳhoñ meñ chhup kar
aapas meñ kahtī thiiñ ai bī
kaisā halva duudh jalebī
āzādī ke alag maze haiñ
jangal ke apne meve haiñ
shāḳhoñ se taaza phal khaao
chashme ke paanī meñ nahāo
nācho gaao uḌte jaao
raat meñ Tahnī par so jaao
khulī havā.eñ khulī fazā.eñ
mīloñ par phailāte jaa.eñ
ye sardī garmī barsāteñ
apne din haiñ apnī rāteñ
jaltī dhuup aur ThanDā saaya
chāñd sitāroñ ka sarmāya
jab tak jangal meñ rahnā hai
ham is ke haiñ ye apnā hai
sham hui to buDha tota
bargad ki Tahni par baiTha
soch raha tha ab kya hoga
khane ko kya rakkha hoga
roTi halwa yaad aata tha
chhat ka saya yaad aata tha
tab wo jangal mein chillaya
hae andhera hone aaya
aao bachcho khao churi
sab ki aadhi meri puri
chiDiyan us ki baaten sun kar
hansti thin shaKHon mein chhup kar
aapas mein kahti thin ai bi
kaisa halwa dudh jalebi
aazadi ke alag maze hain
jangal ke apne mewe hain
shaKHon se taza phal khao
chashme ke pani mein nahao
nacho gao uDte jao
raat mein Tahni par so jao
khuli hawaen khuli fazaen
milon par phailate jaen
ye sardi garmi barsaten
apne din hain apni raaten
jalti dhup aur ThanDa saya
chand sitaron ka sarmaya
jab tak jangal mein rahna hai
hum is ke hain ye apna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.