sham samay
maiñ ne jab se apne kamre kī
bistar ke sāmne vaalī dīvār par Tañgī ghaḌī utārī hai
tab se us dīvār par āñkheñ ugnā shurūa ho ga.ī haiñ
ghaḌī ke andar
gol gol ghūmtā vaqt chakrā kar Thahar gayā thā
ab dīvār par ugī un tamām āñkhoñ meñ
ghaḌiyāñ banī huī haiñ
aur har ghaḌī muḳhtalif vaqt par rukī huī hai
lekin āñkhoñ kī bel ke saa.e meñ paḌā
dressing Table kā ā.īna batātā hai
ki vaqt chal rahā hai
tez-raftārī se
itnī tez-raftārī se
ki aksar haañp jaatā hai
main ne jab se apne kamre ki
bistar ke samne wali diwar par Tangi ghaDi utari hai
tab se us diwar par aankhen ugna shurua ho gai hain
ghaDi ke andar
gol gol ghumta waqt chakra kar Thahar gaya tha
ab diwar par ugi un tamam aankhon mein
ghaDiyan bani hui hain
aur har ghaDi muKHtalif waqt par ruki hui hai
lekin aankhon ki bel ke sae mein paDa
dressing Table ka aaina batata hai
ki waqt chal raha hai
tez-raftari se
itni tez-raftari se
ki aksar hanp jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.