sham
shafaq phūlī gayā din ho ga.ī shaam
kareñge kaam karne vaale ārām
abhī pachchhim meñ chhup jā.egā sūraj
nahīñ shab bhar nazar aa.egā sūraj
chale aate haiñ ghar ko rāj-mazdūr
ki din bhar kaam karte ho ga.e chuur
mulāzim daftaroñ se aa rahe haiñ
miThā.ī aur saudā lā rahe haiñ
musāfir ne kamar manzil pe kholī
bhikārī aa ga.e phailā.e jholī
parinde uḌ chale haiñ ghoñsloñ ko
qatāreñ kaisī bāñdhī haiñ vo dekho
vo gaa.eñ bhaiñseñ char kar aa rahī haiñ
ye ab apne gharoñ ko jā rahī haiñ
havā ke jhoñke maddham ho ga.e haiñ
daraḳht ārām se ab so ga.e haiñ
karo ab pyāre bachcho tum bhī ārām
shafaq phūlī gayā din ho ga.ī shaam
shafaq phuli gaya din ho gai sham
karenge kaam karne wale aaram
abhi pachchhim mein chhup jaega suraj
nahin shab bhar nazar aaega suraj
chale aate hain ghar ko raj-mazdur
ki din bhar kaam karte ho gae chur
mulazim daftaron se aa rahe hain
miThai aur sauda la rahe hain
musafir ne kamar manzil pe kholi
bhikari aa gae phailae jholi
parinde uD chale hain ghonslon ko
qataren kaisi bandhi hain wo dekho
wo gaen bhainsen char kar aa rahi hain
ye ab apne gharon ko ja rahi hain
hawa ke jhonke maddham ho gae hain
daraKHt aaram se ab so gae hain
karo ab pyare bachcho tum bhi aaram
shafaq phuli gaya din ho gai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.