shayad ye andhera aaKHiri andhera ho
chāñd merī zamīñ
phuul merā vatan
apne bachchoñ ko maiñ ne
thapak thapak kar
jis raat
ye lorī sunā.ī thī
merī be-ḳhvāb āñkheñ
havāoñ meñ
rasta TaTolte hue
bahādur parindoñ se
har shab ulajhtī haiñ
kāġhaz ke phūloñ se
ye ghar kī raunaq
kab tak
mere chāñd jaise chāñd
ye māñge kī raushnī
kab tak
bahut gahrī niiñd so ga.e haiñ
mere ġhāfil mere ma.asūm
ye jāgeñ to
sub.h ho
chand meri zamin
phul mera watan
apne bachchon ko main ne
thapak thapak kar
jis raat
ye lori sunai thi
meri be-KHwab aankhen
hawaon mein
rasta TaTolte hue
bahadur parindon se
har shab ulajhti hain
kaghaz ke phulon se
ye ghar ki raunaq
kab tak
mere chand jaise chand
ye mange ki raushni
kab tak
bahut gahri nind so gae hain
mere ghafil mere masum
ye jagen to
subh ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.