shab-baraat
kyūñkar kare na apnī numūdārī shab-barāt
chilpak chapātī halve se hai bhārī shab-barāt
zindoñ kī hai zabāñ kī mazedārī shab-barāt
murdoñ kī ruuh kī hai madad-gārī shab-barāt
lagtī hai sab ke dil ko ġharaz pyārī shab-barāt
shakkar kā jin ke halva huā vo to puure haiñ
guḌ kā huā hai jin ke vo un se adhūre haiñ
shakkar na guḌ kā jin ke vo parkaT lañDūre haiñ
auroñ ke mīThe halve chapātī ko ghūre haiñ
un kī na ādhī-pāo na kuchh saarī shab-barāt
duniyā kī daulatoñ meñ jo zardār haiñ baḌe
qandoñ ke halve roġhnī nāneñ liye khaḌe
pahuñchā.e ḳhvān phirte haiñ naukar ka.ī paḌe
zinde bhī raah takte haiñ murde bhī haiñ khaḌe
in ḳhūbiyoñ ko rakhtī hai tayyārī shab-barāt
Thiliyāñ chapātī halve kī to sab meñ chaal hai
adnā ġharīb ke ta.iiñ ye bhī muhāl hai
kaale se guḌ kī lipTī kaḌhī kī misāl hai
paanī se hāñDī gehūñ kī roTī bhī laal hai
kartī hai aisī dukhiyā pansārī shab-barāt
aur muflisoñ kī hai ye tamannā kī fātiha
dariyā pe jā ke dete haiñ baabā kī fātiha
bhatiyārī ke tanūr pa naanā kī fātiha
halvā.ī kī dukān pe daadā kī fātiha
yaañ tak to un pe laatī hai nā-chārī shab-barāt
vāris haiñ jin ke jiite vo murde bhī aan kar
halve chapātī ḳhuub hī chakhte haiñ peT-bhar
jin kā koī nahīñ hai vo phirte haiñ dar-ba-dar
auroñ ke lagte phirte haiñ konoñ se ghar-ba-ghar
un kī hai khārī nuun se bhī khārī shab-barāt
mullā jo dene fātiha ghar ghar meñ jaate haiñ
halva kahīñ kahīñ vo chapātī uḌāte haiñ
muflis koī bulāve to muñh ko chhupāte haiñ
shakkar kā halva sunte hī bas dauḌe jaate haiñ
kahte hue ye dil meñ ahā-hā rī shab-barāt
chhoḌe hai laTTū toñbaḌī har-dam banā ke jo
hākim kā pyāda kahtā hai yuuñ us se talḳh ho
kapḌe badan bachā ke jo chāho so chhoḌ do
chhappar jalāo.ge to dilāvegī sub.h ko
tum se chabūtare meñ gunahgārī shab-barāt
phirte haiñ ishq-bāz jo laḌke kī ghaat meñ
To.Tā hī le ke dete haiñ laḌke ke haath meñ
mahtābī aa ke chhoḌeñ haiñ laḌke jo raat meñ
kyā zarkiyāñ sī chhoḌe haiñ hañs hañs ke baat meñ
kartī hai kaam un ke bhī yuuñ jaarī shab-barāt
jo ranDī-bāz haiñ vo bahut dil meñ shaad ho
kyā kyā anaar chhoḌe haiñ bishnī ho rū-ba-rū
ai bī tum apnī kulhiyā hameñ chhoḌne ko do
aur chāho tum hamārā ye hat-phūl chhoḌ lo
ho jaa.e jis ke chhuTte hī phulvārī shab-barāt
aur jo bahār-e-husn ke haiñ pāk-bāz yaar
gul-kārī chhoḌe haiñ jahāñ mahbūb gul-ezār
kahte haiñ un ko dekh ke āñkhoñ meñ kar ke pyaar
kyā chāhiye miyāñ tumheñ hat-phūl aur anaar
tum par to aap hotī hai ab vaarī shab-barāt
ghanchakkar apne dam meñ kahīñ charḳh khāte haiñ
ToñTe havā.ī siiñk kahīñ qahqahate haiñ
zīñpaT-zapaT paTāḳhe kahīñ ġhul machāte haiñ
laḌkoñ ke bāñdh ġhol kahīñ laḌne jaate haiñ
kartī hai phir to aisī dhūñvādhārī shab-barāt
aa kar kisī ke sar pe chhachhūñdar lagī kaḌī
uupar se aur havā.ī kī aa kar paḌī chhaḌī
ho ga.ī gale kā haar paTāḳhe kī har laḌī
paañv se lipTī shor machā kar qalam tuḌī
kartī hai phir to aisī sitamgārī shab-barāt
chehra kisī kā jal gayā āñkheñ jhulas ga.iiñ
chhā.ī kisī kī jal ga.iiñ bāheñ jhulas ga.iiñ
Tāñgeñ bachīñ kisī kī to rāneñ jhulas ga.iiñ
moñchheñ kisī kī phuk ga.iiñ palkeñ jhulas ga.iiñ
rakhe kisī kī dāḌhī pe chiñgārī shab-barāt
koī dostoñ ko dil meñ samajhtā hai apne ġhair
koī dushmanoñ se dil kā nikāle hai apnā bair
kahtā hai vaañ 'nazīr' bhī ātish kī dekh sair
yārab to sab kī kījiyo barsā-baras kī ḳhair
be-tarah kar rahī hai numūdārī shab-barāt
kyunkar kare na apni numudari shab-baraat
chilpak chapati halwe se hai bhaari shab-baraat
zindon ki hai zaban ki mazedari shab-baraat
murdon ki ruh ki hai madad-gari shab-baraat
lagti hai sab ke dil ko gharaz pyari shab-baraat
shakkar ka jin ke halwa hua wo to pure hain
guD ka hua hai jin ke wo un se adhure hain
shakkar na guD ka jin ke wo parkaT lanDure hain
auron ke miThe halwe chapati ko ghure hain
un ki na aadhi-pao na kuchh sari shab-baraat
duniya ki daulaton mein jo zardar hain baDe
qandon ke halwe roghni nanen liye khaDe
pahunchae KHwan phirte hain naukar kai paDe
zinde bhi rah takte hain murde bhi hain khaDe
in KHubiyon ko rakhti hai tayyari shab-baraat
Thiliyan chapati halwe ki to sab mein chaal hai
adna gharib ke tain ye bhi muhaal hai
kale se guD ki lipTi kaDhi ki misal hai
pani se hanDi gehun ki roTi bhi lal hai
karti hai aisi dukhiya pansari shab-baraat
aur muflison ki hai ye tamanna ki fatiha
dariya pe ja ke dete hain baba ki fatiha
bhatiyari ke tanur pa nana ki fatiha
halwai ki dukan pe dada ki fatiha
yan tak to un pe lati hai na-chaari shab-baraat
waris hain jin ke jite wo murde bhi aan kar
halwe chapati KHub hi chakhte hain peT-bhar
jin ka koi nahin hai wo phirte hain dar-ba-dar
auron ke lagte phirte hain konon se ghar-ba-ghar
un ki hai khaari nun se bhi khaari shab-baraat
mulla jo dene fatiha ghar ghar mein jate hain
halwa kahin kahin wo chapati uDate hain
muflis koi bulawe to munh ko chhupate hain
shakkar ka halwa sunte hi bas dauDe jate hain
kahte hue ye dil mein aha-ha ri shab-baraat
chhoDe hai laTTu tonbaDi har-dam bana ke jo
hakim ka pyaada kahta hai yun us se talKH ho
kapDe badan bacha ke jo chaho so chhoD do
chhappar jalaoge to dilawegi subh ko
tum se chabutare mein gunahgari shab-baraat
phirte hain ishq-baz jo laDke ki ghat mein
ToTa hi le ke dete hain laDke ke hath mein
mahtabi aa ke chhoDen hain laDke jo raat mein
kya zarkiyan si chhoDe hain hans hans ke baat mein
karti hai kaam un ke bhi yun jari shab-baraat
jo ranDi-baz hain wo bahut dil mein shad ho
kya kya anar chhoDe hain bishni ho ru-ba-ru
ai bi tum apni kulhiya hamein chhoDne ko do
aur chaho tum hamara ye hat-phul chhoD lo
ho jae jis ke chhuTte hi phulwari shab-baraat
aur jo bahaar-e-husn ke hain pak-baz yar
gul-kari chhoDe hain jahan mahbub gul-ezar
kahte hain un ko dekh ke aankhon mein kar ke pyar
kya chahiye miyan tumhein hat-phul aur anar
tum par to aap hoti hai ab wari shab-baraat
ghanchakkar apne dam mein kahin charKH khate hain
TonTe hawai sink kahin qahqahate hain
zinpaT-zapaT paTaKHe kahin ghul machate hain
laDkon ke bandh ghol kahin laDne jate hain
karti hai phir to aisi dhunwadhaari shab-baraat
aa kar kisi ke sar pe chhachhundar lagi kaDi
upar se aur hawai ki aa kar paDi chhaDi
ho gai gale ka haar paTaKHe ki har laDi
panw se lipTi shor macha kar qalam tuDi
karti hai phir to aisi sitamgari shab-baraat
chehra kisi ka jal gaya aankhen jhulas gain
chhai kisi ki jal gain bahen jhulas gain
Tangen bachin kisi ki to ranen jhulas gain
monchhen kisi ki phuk gain palken jhulas gain
rakhe kisi ki daDhi pe chingari shab-baraat
koi doston ko dil mein samajhta hai apne ghair
koi dushmanon se dil ka nikale hai apna bair
kahta hai wan 'nazir' bhi aatish ki dekh sair
yarab to sab ki kijiyo barsa-baras ki KHair
be-tarah kar rahi hai numudari shab-baraat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.