shab-e-intizar
zahmat-kash-e-hijrāñ kā dil aur dukhāte haiñ
ye kah ke mujhe log ab dīvāna banāte haiñ
vo aate haiñ aate haiñ vo aate haiñ aate haiñ
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
vo raat bhayānak aur zulfoñ kī tarah kaalī
hotī hī rahī jis meñ jazbāt kī pāmālī
tā āñ-ki huī zāhir mashriq kī taraf laalī
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
jalte hue dīpak bhī ḳhāmosh hue āḳhir
uḌte hue jugnū bhī rū-posh hue āḳhir
parvāne ajal se ham-āġhosh hue āḳhir
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
chahke vo parinde vo murġhān-e-sahar bole
uḌne ke liye ab vo tayyār haiñ par tole
ham baiThe ke baiThe haiñ ġham-ḳhāne kā dar khole
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
masjid ke mināroñ se vo bāñg-e-azāñ aa.ī
darbār-e-ilāhī meñ ab hogī jabīñ-sā.ī
jo raat thī parbat sī vo ghaT ke banī raa.ī
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
betābī-e-dil merī aur vo shab-e-tanhā.ī
pattā jo kabhī khaḌkā aahaT jo kabhī aa.ī
'najmī' yahī samjhā maiñ taqdīr unheñ laa.ī
lekin vo kahāñ aa.e aate haiñ na ā.eñge
chhiTke hue taare bhī ab Dūbte jaate haiñ
zahmat-kash-e-hijran ka dil aur dukhate hain
ye kah ke mujhe log ab diwana banate hain
wo aate hain aate hain wo aate hain aate hain
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
wo raat bhayanak aur zulfon ki tarah kali
hoti hi rahi jis mein jazbaat ki pamali
ta aan-ki hui zahir mashriq ki taraf lali
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
jalte hue dipak bhi KHamosh hue aaKHir
uDte hue jugnu bhi ru-posh hue aaKHir
parwane ajal se ham-aghosh hue aaKHir
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
chahke wo parinde wo murghan-e-sahar bole
uDne ke liye ab wo tayyar hain par tole
hum baiThe ke baiThe hain gham-KHane ka dar khole
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
masjid ke minaron se wo bang-e-azan aai
darbar-e-ilahi mein ab hogi jabin-sai
jo raat thi parbat si wo ghaT ke bani rai
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
betabi-e-dil meri aur wo shab-e-tanhai
patta jo kabhi khaDka aahaT jo kabhi aai
'najmi' yahi samjha main taqdir unhen lai
lekin wo kahan aae aate hain na aaenge
chhiTke hue tare bhi ab Dubte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.