shab-e-raegan
mujh ko kal raat us kī hathelī meñ mehñdī lagānī thī
mehñdī se beleñ banānī thiiñ buuTe sajāne the
gul naqsh karne the
aur darmiyān un guloñ ke
mere naam kā harf-e-avval bhī likhnā thā
thoḌā sā pinhāñ bhī thoḌā numāyāñ bhī
rang-e-hinā se lakīreñ hamāre muqaddar kī
us kī hathelī meñ phir se banānī thiiñ
kuchh yuuñ ki us kī hathelī kī rekhā.eñ
merī hathelī meñ paivast ho jaa.eñ
kal raat us kī hathelī meñ mehñdī lagānī thī
par maiñ qalam kī siyāhī se
kāġhaz pe aadhī likhī nazm ko
phir mukammal banāne kī koshish meñ uljhā rahā
nazm aisī ki jis meñ
tasalsul ho us kī khulī zulf sā
aur us ke tabassum ke jharne sī lai
us kī bātoñ sā āhang ho
maiñ ne aadhī likhī nazm par
us kī jaadū sī āñkhoñ sā unvān sajāne kī koshish bhī kī
par koī aks koī bhī ḳhāka nahīñ ban sakā
merī shab ke muqaddar meñ
phir ek baar rā.egānī likhī thī
so vo hī huā
koī tahrīr bhī merī puurī nahīñ ho sakī
us kī suunī hathelī hinā ko tarastī rahī
aur kāġhaz pe aadhī likhī nazm
aadhī likhī rah ga.ī
kal kī shab bhī merī
hasb-e-ma.amūl phir rā.egāñ hī ga.ī
mujh ko kal raat us ki hatheli mein mehndi lagani thi
mehndi se belen banani thin buTe sajaane the
gul naqsh karne the
aur darmiyan un gulon ke
mere nam ka harf-e-awwal bhi likhna tha
thoDa sa pinhan bhi thoDa numayan bhi
rang-e-hina se lakiren hamare muqaddar ki
us ki hatheli mein phir se banani thin
kuchh yun ki us ki hatheli ki rekhaen
meri hatheli mein paiwast ho jaen
kal raat us ki hatheli mein mehndi lagani thi
par main qalam ki siyahi se
kaghaz pe aadhi likhi nazm ko
phir mukammal banane ki koshish mein uljha raha
nazm aisi ki jis mein
tasalsul ho us ki khuli zulf sa
aur us ke tabassum ke jharne si lai
us ki baaton sa aahang ho
main ne aadhi likhi nazm par
us ki jadu si aankhon sa unwan sajaane ki koshish bhi ki
par koi aks koi bhi KHaka nahin ban saka
meri shab ke muqaddar mein
phir ek bar raegani likhi thi
so wo hi hua
koi tahrir bhi meri puri nahin ho saki
us ki suni hatheli hina ko tarasti rahi
aur kaghaz pe aadhi likhi nazm
aadhi likhi rah gai
kal ki shab bhi meri
hasb-e-mamul phir raegan hi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.