shab-e-shikast
bārahvīñ martaba
maut kā ḳhvāb takmīl tak aate aate kahīñ rah gayā hai
mujhe koī zaḳhmoñ ke Tāñke lagānā sikhā de
to maiñ apnā chamḌā use daan kar dūñgā
phir chāhe vo us ke juute banā.e
yā apnī balāoñ kā sadqa utāre
agar devtāoñ meñ jhagḌā huā aur tum is zamīñ par
kisī an-sune qahqahe ke shikam se barāmad hue
to maiñ apnī poroñ pe ugtī huī raat se tum meñ itnī udāsī bharūñgā
ki tum chīḳhte chīḳhte ek dam hast hone lagoge
lipaT jāoge mujh meñ paivast hone lagoge
magar maiñ abhī terahvāñ ḳhvāb āñkhoñ meñ paivast karne lagā huuñ
barahwin martaba
maut ka KHwab takmil tak aate aate kahin rah gaya hai
mujhe koi zaKHmon ke Tanke lagana sikha de
to main apna chamDa use dan kar dunga
phir chahe wo us ke jute banae
ya apni balaon ka sadqa utare
agar dewtaon mein jhagDa hua aur tum is zamin par
kisi an-sune qahqahe ke shikam se baramad hue
to main apni poron pe ugti hui raat se tum mein itni udasi bharunga
ki tum chiKHte chiKHte ek dam hast hone lagoge
lipaT jaoge mujh mein paiwast hone lagoge
magar main abhi terahwan KHwab aankhon mein paiwast karne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.