shafaq
ye shafaq pighle hue sone kī goyā kaan hai
jis taraf dekho sunahre rang kā tūfān hai
arsh se tā-farsh chhā.ī hai gulābī raushnī
uf chhiḌak dī kis ne aalam par sharāb-e-zindagī
ho rahī haiñ safha-e-ālam par rang-āmeziyāñ
ban gayā saarā jahān-e-sāda ik rangīñ jahāñ
jā rahā hai qāfila rangīniyoñ nūroñ kā ye
bah rahā hai yā safīna charḳh par hūroñ kā ye
ye sunahrī kaun bastī hai nahīñ chaltā patā
kah rahā hai dil jazīra to nahīñ ye ḳhuld kā
husn mastī-zā kuchh aisā chhā rahā hai dahr par
dil se maiñ huuñ be-ḳhabar to dil hai mujh se be-ḳhabar
ḳhuld kā zarrīñ samundar maujzan hai charḳh par
yā javāhar kā zaḳhīra aa rahā hai ye nazar
jis taraf dekho zamīñ tā-āsmāñ hai surḳh-posh
ik zamīn-o-āsmāñ kyā kul jahāñ hai surḳh-posh
ye tahayyur-zā nazāre ye suhānī rangateñ
kyā utar aa.ī haiñ gardūñ se zamīñ par jannateñ
kaash is dilchasp-tar duniyā meñ kho jaa.e 'shamīm'
kaash in rangīniyoñ meñ jazb ho jaa.e 'shamīm'
ye shafaq pighle hue sone ki goya kan hai
jis taraf dekho sunahre rang ka tufan hai
arsh se ta-farsh chhai hai gulabi raushni
uf chhiDak di kis ne aalam par sharab-e-zindagi
ho rahi hain safha-e-alam par rang-ameziyan
ban gaya sara jahan-e-sada ek rangin jahan
ja raha hai qafila ranginiyon nuron ka ye
bah raha hai ya safina charKH par huron ka ye
ye sunahri kaun basti hai nahin chalta pata
kah raha hai dil jazira to nahin ye KHuld ka
husn masti-za kuchh aisa chha raha hai dahr par
dil se main hun be-KHabar to dil hai mujh se be-KHabar
KHuld ka zarrin samundar maujzan hai charKH par
ya jawahar ka zaKHira aa raha hai ye nazar
jis taraf dekho zamin ta-asman hai surKH-posh
ek zamin-o-asman kya kul jahan hai surKH-posh
ye tahayyur-za nazare ye suhani rangaten
kya utar aai hain gardun se zamin par jannaten
kash is dilchasp-tar duniya mein kho jae 'shamim'
kash in ranginiyon mein jazb ho jae 'shamim'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.