shahar
log kahte haiñ ki tujh se thak jaanā
mar jaane ke barābar hai
aur mujhe bhī kabhī kabhī aisā hī lagtā hai
to sun shahar meñ tujh se saaf saaf kah duuñ
ki maiñ tujh se thak gayā huuñ
yā mujhe yuuñ lagtā hai
ki mere sar se us baap kā saaya uTh gayā hai
jo itne dinoñ merī nigahbānī kar rahā thā
sun shahar
agar mar jā.ūñ
aur log mujhe dafnāne le jaa.eñ
to jhapaT ke tū mujhe god meñ le lenā
aur baal khole kahānī vaalī maaoñ kī tarah
mujhe āñchal meñ chhupā kar chīḳh chīḳh kar un se kah denā
ki nahīñ ye merā beTā hai
mere jiite jī ye kabhī yatīm nahīñ ho saktā
na hī
mere jiite jī koī ise mujh se chhīn saktā hai
log kahte hain ki tujh se thak jaana
mar jaane ke barabar hai
aur mujhe bhi kabhi kabhi aisa hi lagta hai
to sun shahar mein tujh se saf saf kah dun
ki main tujh se thak gaya hun
ya mujhe yun lagta hai
ki mere sar se us bap ka saya uTh gaya hai
jo itne dinon meri nigahbani kar raha tha
sun shahar
agar mar jaun
aur log mujhe dafnane le jaen
to jhapaT ke tu mujhe god mein le lena
aur baal khole kahani wali maon ki tarah
mujhe aanchal mein chhupa kar chiKH chiKH kar un se kah dena
ki nahin ye mera beTa hai
mere jite ji ye kabhi yatim nahin ho sakta
na hi
mere jite ji koi ise mujh se chhin sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.