shahr-ashob
ai mire des meñ baste hue achchhe logo
ḳhud hī socho ki sazā jaisī ye tanhā.ī hai
jis jagah phuul mahakte the vafāoñ ke kabhī
in fazāoñ meñ aTal raat kī gahrā.ī hai
in añdheroñ se pare aaj bhī is duniyā meñ
log ḳhush-hāl mohabbat se rahā karte haiñ
aaj bhī shaam Dhale sukh kī hasīñ vaadī meñ
log peḌoñ ke tale roz milā karte haiñ
roz uThtī hai mahak un ke hasīñ āñgan se
sādgī jiine kā sāmān huā kartī hai
un kī āñkhoñ meñ mahakte haiñ gulāboñ ke chaman
zindagī kaif kā unvān huā kartī hai
ai mire des meñ baste hue achchhe logo
zindagī kaun se manzar meñ guzārī tum ne
ḳhaak aur ḳhuun se lithḌī huī manzil kī talab
kaun se qarz kī zanjīr utārī tum ne
yuuñ ulajhte ho bhaTakte hue aahū kī tarah
kaise āshob meñ ik umr gañvā dī tum ne
ḳhārzāroñ se likhī dil pe kahānī dukh kī
kaun sī shab kī siyāhī ko jilā dī tum ne
ai mire des meñ baste hue achchhe logo
ḳhud ko pahchān ke is baab meñ rusvā na karo
zindagī sirf mohabbat kā hasīñ tohfa hai
is hasīñ ḳhvāb kī ta.abīr kā saudā na karo
ai mere des mein baste hue achchhe logo
KHud hi socho ki saza jaisi ye tanhai hai
jis jagah phul mahakte the wafaon ke kabhi
in fazaon mein aTal raat ki gahrai hai
in andheron se pare aaj bhi is duniya mein
log KHush-haal mohabbat se raha karte hain
aaj bhi sham Dhale sukh ki hasin wadi mein
log peDon ke tale roz mila karte hain
roz uThti hai mahak un ke hasin aangan se
sadgi jine ka saman hua karti hai
un ki aankhon mein mahakte hain gulabon ke chaman
zindagi kaif ka unwan hua karti hai
ai mere des mein baste hue achchhe logo
zindagi kaun se manzar mein guzari tum ne
KHak aur KHun se lithDi hui manzil ki talab
kaun se qarz ki zanjir utari tum ne
yun ulajhte ho bhaTakte hue aahu ki tarah
kaise aashob mein ek umr ganwa di tum ne
KHarzaron se likhi dil pe kahani dukh ki
kaun si shab ki siyahi ko jila di tum ne
ai mere des mein baste hue achchhe logo
KHud ko pahchan ke is bab mein ruswa na karo
zindagi sirf mohabbat ka hasin tohfa hai
is hasin KHwab ki tabir ka sauda na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.