shahr-e-ana mein
ye tez dhuup ye kāñdhoñ pe jāgtā sūraj
zamīñ buland hai utnī ki āsmāñ kī raqīb
vo raushnī hai vo bedāriyāñ ki saa.e na ḳhvāb
bas ek hosh bas ik āgahī bas ik ehsās
aur un ke nuur se jalte badan pighalte badan
badan haiñ kholte sayyāl ā.īne har-sū
har aan bahte sadā rahtīñ badalte badan
dimāġh duur se un kā nazāra kartā hai
aur un ke karb ke iz.hār se sañvartā hai
vo raushnī hai ki az-fard tā ba fard tamām
kisī kī shakl na sūrat kisī kā rañg na ruup
tamām anfus-o-āfāq gum haiñ aapas meñ
haiñ fard fard kī parchhā.iyāñ bhī dhuup hī dhuup
sab apne ilm kā jādū-e-sāmrī le kar
hazār āñkhoñ se ik dūsre ko dekhte haiñ
ravāñ davāñ haiñ sab ik dūsre kī rūhoñ meñ
aur itnā jaan chuke haiñ sab ek dūsre ko
kuchh itnī duur nikal aa.e haiñ sab apne se
ki dil ke rishtoñ ko ab māntā nahīñ koī
kisī ko apne sivā jāntā nahīñ koī
ye tez dhup ye kandhon pe jagta suraj
zamin buland hai utni ki aasman ki raqib
wo raushni hai wo bedariyan ki sae na KHwab
bas ek hosh bas ek aagahi bas ek ehsas
aur un ke nur se jalte badan pighalte badan
badan hain kholte sayyal aaine har-su
har aan bahte sada rahtin badalte badan
dimagh dur se un ka nazara karta hai
aur un ke karb ke izhaar se sanwarta hai
wo raushni hai ki az-fard ta ba fard tamam
kisi ki shakl na surat kisi ka rang na rup
tamam anfus-o-afaq gum hain aapas mein
hain fard fard ki parchhaiyan bhi dhup hi dhup
sab apne ilm ka jadu-e-samri le kar
hazar aankhon se ek dusre ko dekhte hain
rawan dawan hain sab ek dusre ki ruhon mein
aur itna jaan chuke hain sab ek dusre ko
kuchh itni dur nikal aae hain sab apne se
ki dil ke rishton ko ab manta nahin koi
kisi ko apne siwa jaanta nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.