shahr-e-KHamoshan ko dekh kar
nahīñ ye Dher miTTī ke sabaq-āmoz-e-ibrat haiñ
karūñ ai ham-nashīñ kyūñkar na in se istifāda maiñ
nishān-e-raftgāñ maiñ ne har ik manzil meñ paayā hai
isī ibrat-kade ne kyā ḳhayāl un kā jamāyā hai
qayās apnā kiyā un par jo maiñ ne ai sharīf insāñ
nazar aayā mujhe un meñ koī ḳhandāñ koī giryāñ
yahāñ mazlūm hī rahte nahīñ haiñ balki zālim bhī
nazar pahlū-ba-pahlū aate haiñ mahkūm-o-hākim bhī
na dekhā tum ne shāyad un ko ab tak chashm-e-ibrat se
ḳhudā-rā lo sabaq kuchh bhī to in alvāh-e-turbat se
humāyūñ hai yahāñ āsūda vo qabr-e-halākū hai
sunā hai ye koī murshid hai aur vo ek Daaku hai
vo shah-zor aaj bekas haiñ jo kamzoroñ se laḌte the
ḳhudā jaane ki ahl-e-hilm se kyūñkar bigaḌte the
karo yaad un buzurgoñ ko sharāfat jin pe hai nāzāñ
na bhūlo un ko bhī jo the sipah-sālār-e-sharbāzāñ
nigāhoñ meñ unheñ rakkho ubharnā hai agar tum ko
ḳhayāloñ meñ unheñ parkho sañvarnā hai agar tum ko
nahin ye Dher miTTi ke sabaq-amoz-e-ibrat hain
karun ai ham-nashin kyunkar na in se istifada main
nishan-e-raftgan main ne har ek manzil mein paya hai
isi ibrat-kade ne kya KHayal un ka jamaya hai
qayas apna kiya un par jo main ne ai sharif insan
nazar aaya mujhe un mein koi KHandan koi giryan
yahan mazlum hi rahte nahin hain balki zalim bhi
nazar pahlu-ba-pahlu aate hain mahkum-o-hakim bhi
na dekha tum ne shayad un ko ab tak chashm-e-ibrat se
KHuda-ra lo sabaq kuchh bhi to in alwah-e-turbat se
humayun hai yahan aasuda wo qabr-e-halaku hai
suna hai ye koi murshid hai aur wo ek Daku hai
wo shah-zor aaj bekas hain jo kamzoron se laDte the
KHuda jaane ki ahl-e-hilm se kyunkar bigaDte the
karo yaad un buzurgon ko sharafat jin pe hai nazan
na bhulo un ko bhi jo the sipah-salar-e-sharbazan
nigahon mein unhen rakkho ubharna hai agar tum ko
KHayalon mein unhen parkho sanwarna hai agar tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.