shahr gumnam
jaise koī sayyāh safar se lauTe
jab shaam ko tum lauT ke ghar aaoge
har naqsh mohabbat se tumheñ dekhegā
har yaad ko taktā huā tum pāoge
tum baiThoge afkār kī ḳhāmoshī meñ
sochoge ki is rañj se kyā haath aayā
tum DhūñDne nikle the magar kyā paayā
jam jā.eñgī sho.aloñ pe tumhārī āñkheñ
har sho.ale meñ ik ḳhvāb nazar aa.egā
dīvāroñ pe parchhā.iyāñ lahrā.eñgī
har rāsta āvāzoñ se bhar jā.egā
ik shahr hai ābād tumhāre dil meñ
ik shahr jo gumnām hai nā-paidā hai
ik shahr jo mānind-e-shajar tanhā hai
jaise koi sayyah safar se lauTe
jab sham ko tum lauT ke ghar aaoge
har naqsh mohabbat se tumhein dekhega
har yaad ko takta hua tum paoge
tum baiThoge afkar ki KHamoshi mein
sochoge ki is ranj se kya hath aaya
tum DhunDne nikle the magar kya paya
jam jaengi shoalon pe tumhaari aankhen
har shoale mein ek KHwab nazar aaega
diwaron pe parchhaiyan lahraengi
har rasta aawazon se bhar jaega
ek shahr hai aabaad tumhaare dil mein
ek shahr jo gumnam hai na-paida hai
ek shahr jo manind-e-shajar tanha hai
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.